Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

    Assalamo allaikum

    Kal bethey bethey kuchh zehan mein ussey qalamband kiya hai..
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

    Walikum Assalam
    bahut hi zabardast likha hai aap ne
    bahut hi umda shering
    sada khush rahen
    phool:

    Comment


    • #3
      Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

      Walaikum Assalaam Masood Bhai

      Kia baat hay, bohat hi khoobsurat ghazal hay jo kay nazm numa hay, aik hi ehsaas aur aik hi baat ko itni shaestagi say kehna bohat hi mushkil kaam hay aap nay apnay kafiyon kay tasalsul ko jaari rakhtay huway apnay dili ehsaasat aur jazbaat ko bhi yakjaa rakha aur baRi aasaani say qalam band kardiya aisa laga jaisay aik aik hurf aap ki udaas dastaan bayan kar raha hoon aur uss WQAT-E-RUQSAT ko bayan kar raha hay jiss ki aap kay dil nay kabhi tamanna hi nahin ki thi........!

      yeh shair hasil-e-ghazal laga mujhay, kitna gehrayi hay iss KHAMOSH chalnay main, KHAMOSH chal kar bhi kitni kuch keh rahay hain yeh do misray!!!

      Khizaan ki pat jhar main zard pattoon per Masood
      Bay Sabab chaltay jayain, waqt-e-rukhsat say pehlay


      Bohat khoob isi tarah baith jaya karain, kiyonki aap kay baithnay say aap kay zehan say jo alfaz qalamband huway hain woh seedha dil cheer kay uss paar hogayay.... kabhi kabhi apnay aap say bhi milna bohat zaroori hota hay....

      Maazrat zaroorat say ziyada lambi tajziya nigaari hogayi, kia karoon jab baat dil ko lagti hain tou dil apnay aap ungliyon per ghaalib hojaata hay :)

      Khush rahyeh

      Fi amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

        Assalam o Alaikum WR WB...

        Hamesha ki tarhan bohat hi khoobsorat kalam parhnay ko mila aap ki janib se...
        Her laf apnay ander aik khoobsorti sametay howa hai..
        Isi tarhan likhtay rahain aur hum se share kartay rahain ttakay humain bhi istafadah hasil hota rahay...
        Shukria..
        Khush rahain


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

          apki ruksati horahi he? walima kab khane ko mile ga :think:

          Comment


          • #6
            Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

            Maqta bohat hi khoob kaha hay, tamam ghazal parh ke suroor aaya :) Likhtey rahye bhai.
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

              :lol
              Originally posted by mano_billi View Post
              apki ruksati horahi he? walima kab khane ko mile ga :think:
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Waqt-e-Rukhsat Sey Pehley

                Walikum Assalam
                bahut hi zabardast likha hai aap ne
                bahut hi umda shering
                buhut saari daad qubol kijiye
                sada khush rahen ... Aameen
                Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
                Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

                Comment

                Working...
                X