Aaj ki taza nazam :D
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Apna Dor-e-Muhabbat Yaad Aata Hai
Collapse
X
-
Re: Apna Dor-e-Muhabbat Yaad Aata Hai
Ji qabool kar li hai daad ham ney :) aur pasandeedgi ka shukriyah :)Originally posted by Fatimahaslaam_u_alikam
waah bohat khub masood sahib. aap ka yeh taza kalaam behad pasand aayaa. daad qubool kijiye.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Apna Dor-e-Muhabbat Yaad Aata Hai
Mera dimagh khatam ho chuka hai Mehak, shayid isi liye "jo bacha tha woh lutaney key liye aaey hain, aakhir geet sunenaney key liye aaey hain" - dekho kam himmat dam torti hai :)Originally posted by MehakWah bohat achha likha hai masood... :rose kya kuchh chalta rehta hai dimagh mein aap key :D: Hmm Apna dor e muhabbat yaad aata hai..... achha kalaam hai...tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Apna Dor-e-Muhabbat Yaad Aata Hai
Dor-e-muhabbat taveel ho ya mukhtasir, dor-e-muhabbat hota hai, aur muhabbaton key bohat sey dard mushtarik hotey hain. Kuchh khud peh sahey jatey hain, aur kuchh mehsoos kiyey jatey hain :)Originally posted by MuskanKia kahoon??? alfaz hi nhi hein meray pass jo kuch keh sakoon! boht acha likha hey. waisay itna taveel tha aap ka daur e muhabbat?
Muhabbat ki kahaniyaan kabhi basi nahin hotin Riyaz sahib! Laila'Majnoon, Heer'Ranjha, Mirza'Sahiban aaj bhi usi shoq sey suni jati hai... :)Originally posted by riyazHunnn..Hunnnn.. sab theek to hai masood sb.
aaj ki taaza nazm aur basi mohabbat...khuda
khair kare...
its realy good poemtumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Apna Dor-e-Muhabbat Yaad Aata Hai
Assalaam-O-Alaikum
Kia baat hay Masood Sahab, bohat hi khoobusrat kalaam hay, aisa lagta hay kay yaadi-e-maazi rag-O-jaan main kout kout kar basa hua hay, gokay iss nazm ko likhay aik arsa beet chuka hay magar yeh ehsaas kitnay TAAZA lagtay hain, waqayi insaan kabhi bhi unn khoobsurat lamhoon ko nahin bhula sakta jo kay uss kay dil main aik MERAAS ki tarah bas chukay hain aur zindagi main jab bhi apnay aap say milnay ka mouqa milta hay tou inho yaadoon kay saharay woh apnay aap ko MEHZOOZ karta hay!!!
Likhtay raha karain, bohat arsay say aap ka koi TAAZA kalaam manzar-e-aam per nahi aaya, khush rahyeh :)
Fi amaan ALLAHsigpic
Comment




Comment