Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kya Btaoun? Aik Nooha

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kya Btaoun? Aik Nooha

    Assalamo allaikum Dosto

    Bohat dino sey kuchh nahin likha, aaj achanak jo zehan mein aaya likhta geya - to lijiye bghair kisi nazar'sani key aap ki khidmat mein pesh hai:

    Kya Btaoun? - Pakistan mein Zalzilah Per Aik Nooha

    Kya btaoun des mein aafat guzar gaee
    lamha bhar ko aai aur aakey qayamat guzar gaee
    kya btaoun keh khush-o-khurram bastiyaan ujjarr gaein
    yun laga jaisey Halaku ki barbriyyat guzar gaee
    sheer'khawar, nau'nehal bachey kat marey
    kya btaoun phoolon sey ma'soomiyat guzar gaee
    kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee
    gulshan mein qayamat peh qayamat guzar gaee
    kya btaoun keh insaan ki be'basi dekh ker
    tarraptey, sisaktey, martey dekh ker rehmat guzar gaee
    kya btaoun aasman ko junbish bhi na hui
    aur zameen per aa key kya kya zulmat guzar gaee
    kya btaoun keh alam sey har aankh chhalak parri
    haan suno! keh dilon sey har nafrat guzar gaee
    haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard
    har rooh-e-zindah sey phir aisey adawat guzar gaee
    har aankh hui pur'nam, har dil huwa be'kal
    jhanka jo sab ney seeno mein to anjabiyat guzar gaee
    aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
    rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee




    SEE EDITED VERSION UNDERNEATH IN THIS THREAD
    Attached Files
    Last edited by Masood; 17 October 2005, 00:07.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

    kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee

    haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard

    aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
    rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee

    Dear Masood,
    The poem is good n it evokes the pain of the people.But change the line
    kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee
    Something which evokes the tragedy of a natural disaster on youngs.They were not raped.Hope I am understood.
    haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard

    aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
    rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee

    Instead of Quom,explore about the whole humanity which has come forward in this hour of need=-from all over world,irrespective of race,colour,caste or religion.This will broaden your idea of humanity which includes everyone.
    Keep it up,my friend.What about my suggestion of books?Started any?
    Brijinder

    Comment


    • #3
      Re: Kya Btaoun? Aik Nooha



      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • #4
        Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

        kya btaoun phoolon sey ma'soomiyat guzar gaee :rose

        hmmm Mashallah kafi acha likha hai aap ne Bhai

        Comment


        • #5
          Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

          Assalam.o.aleikum Ta ji,,,aap nay jo kuch bayaan kiya hay may bhi yahi sab kuch maihsoos to kar rahi thi but baaz martaba lafz bhi to goongay ho jatay hain saath chowr jaatay hain.Such baat yeh bhi hay k may nay news aik do hi baar daikhi hain aur suni hain us k baad mujh say bardasht nahi huwa sab ka gham. mujh say nahi daikha jaata yeh sab.na may blood daikh sakti hun aur na dukhi logon kay aansu bardaasht hain.koi mujh say isi liye kuch batata bhi nahi hay.aap ki is tehreer say mujhay andaaza mazeed huwa hay k bouhat kuch huwa hay jis ki taraf say may aankhain band kiye huway hun aur Allah kay huzoor sajda raiz hun dua go hun kay ya Allah rehem farma rehem farma rehem farma. yahaan say jo kuch mumkin hay woh sab ham kar rahay hain ta k imdaad mustahiq haathon may jaey.Pakistan may muqeem hamari families bhi har tarha say is waqt is azeem sanaihay may shareek hain.bas mujh say hi zara posheeda rakha jaata hay sab.but phir bhi itni bay khabar nahi hun.aap nay har us dil ki tarjumaani kar di hay jo k is Qayaamat par sogwaar hay.bouhat dil say likha hay aap nay.dil say likhi tehreer dil par hi lagti hay.Allah aisi aafato'n say mahfooz rakhay aur Muslims ko ikhatta honay kay liye aur yakk jaihti kay liye kisi bahaanay ki zaroorat na paray. ham Allah ki rassi ko mazbooti say thamay rakhain isi may ham Muslims ki baqaa posheeda hay.
          Last edited by hayaa_n; 15 October 2005, 21:47.
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #6
            Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

            buhat sahi akaasi ki hai aap nay zalzalye say mutasara afraad ki :rose
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

              kya btaoun keh alam sey har aankh chhalak parri
              haan suno! keh dilon sey har nafrat guzar gaee

              haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard
              har rooh-e-zindah sey phir aisey adawat guzar gaee
              har aankh hui pur'nam, har dil huwa be'kal
              jhanka jo sab ney seeno mein to anjabiyat guzar gaee
              aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
              rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee


              Sahi kaha Masood, jo Qayamat-e-sugra oun logo per barpa huwi hai, aur jo jani nuksaan huwa hai ousey to koi poora nahi ker sakta magar jis tarah se poori qoam ne barh ker mutasira logo ki imdad ki aur ounehin sanbhala hai wo tareef ek qabil hai. :rose

              Buhut khoob likha Masood :)
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                Zabardast Masood
                aap ny apny alfaaz sy bohat khob manzar kashi ke hai jaha ye saniha hoa waha ki ..

                Comment


                • #9
                  Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                  woow that was a nice one mashallah.......waqiye jo affat aye hai Allah rehmat farmaye......mashallah nicw job

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                    Allah pori Qoum per raham kare Ameen suma Ameen

                    jo ap ne likha hai aik haqeqat hai..jo Qayamat in logon per guzre hai

                    Mere pass tu alfaz bhi nahi ke kuch keh sakon inlogo ke liye

                    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                      sahih naz alfaaz kya aansoo bhi khatam ho gaye hein...
                      Masood bro. aap key kalaam ney aik baar phir sey dukhi ker diya hai

                      ALlah T'ala hum sab per apna reham farmaye Ameen.
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                        masood is saneha se har dil khoon ke Anso ro raha hai hum pakistan se bahut dor baithey hain mager humarey dilon per bhi qayamat guzri hai kiun keh humare jaden tau usi pak watan mein maujood hain jabhi tu masoom nanney munney bachon ko malbe mein daba howa dekh ker maon ko martey howe dekh ker hum sab ka dil bhi tu phat hi gaya thaa na har din sugwar hai kiun keh humarey apne log jo is qayamat se fguzre hain..bas parwardegar se yehi iltejah hai keh humen bakhsh se hum per reham farma..Ameen

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                          Kya Btaoun? - Pakistan mein Zalzilah Per Aik Nooha



                          Kya btaoun des mein aafat guzar gaee
                          lamha bhar ko aai aur aakey qayamat guzar gaee
                          kya btaoun keh khush-o-khurram bastiyaan ujjarr gaein
                          yun laga jaisey Halaku ki barbriyyat guzar gaee
                          sheer'khawar, nau'nehal bachey kat marey
                          kya btaoun phoolon sey ma'soomiyat guzar gaee
                          kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee
                          gulshan mein qayamat peh qayamat guzar gaee
                          kya btaoun keh insaan ki be'basi dekh ker
                          tarraptey, sisaktey, martey dekh ker rehmat guzar gaee
                          kya btaoun aasman ko junbish bhi na hui
                          aur zameen per aa key kya kya zulmat guzar gaee
                          kya btaoun keh alam sey har aankh chhalak parri
                          haan suno! keh dilon sey har nafrat guzar gaee
                          haan suno! keh huwey insaan kon-o-makaan mein
                          har rooh-e-zindah sey phir aisey adawat guzar gaee
                          har aankh hui pur'nam, har dil huwa be'kal
                          jhanka jo sab ney seeno mein to anjabiyat guzar gaee
                          insan insan ka waseela hai, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
                          rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee
                          Attached Files
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                            Originally posted by Brijinder
                            kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee

                            haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard

                            aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
                            rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee

                            Dear Masood,
                            The poem is good n it evokes the pain of the people.But change the line
                            kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee
                            Something which evokes the tragedy of a natural disaster on youngs.They were not raped.Hope I am understood.
                            haan suno! keh aik huwa phir qom ka har fard

                            aik qom hain ham, qayamat-e-sughraa ney btaa diya
                            rahi sahi jo thi dilon mein, adawat guzar gaee

                            Instead of Quom,explore about the whole humanity which has come forward in this hour of need=-from all over world,irrespective of race,colour,caste or religion.This will broaden your idea of humanity which includes everyone.
                            Keep it up,my friend.What about my suggestion of books?Started any?
                            Brijinder
                            Brijinder ji yehi aik malaal to dil ko khaey jaa raha hai keh aik to qudrat ney qayamat barpa ki aur phir kuchh kutton ney rahi sahi aabru bhi lootna shuru kar di

                            Main ney misron ko drust karney ki koshish ki hai :) - haan yeh poori insaniyat ka almiya tha jissey poori duniya ney feel kiya hai
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kya Btaoun? Aik Nooha

                              W salaam,



                              aah masood bhai aapnien apni tehreer mien iss saadgi se zalzale mien huee tabaahi ko bayaan kiyaa hai usse hum sirf aur sirf mehsoos hi ker ke cheenkh uthte hain Allaah se dua hai ke aisa dardnaaq haadisaa ab humaari aankhoon ke saamnien phir naa aaye dili daad qabool karien khush rahien
                              :tang: RISK IS MY BUSINESS

                              DANGER IS MY GAME

                              DONT PLAY WITH ME
                              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                              Comment

                              Working...
                              X