Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

    Assalamo allaikum

    Bohat muddat baad kuchh likha hai....
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo allaikum

    Bohat muddat baad kuchh likha hai....
    Wah ...Fantastic..!!
    Her lafz Ehsaas se bhara ..buhat hi khoobsorti se Dill ki kafiyat biyaan ker diye ap ney.:rose
    likhty rahein ..intizar rahy ga:)

    Comment


    • #3
      Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

      "AIK HI SAANS MEIN SUNA DETA MEIN RODAD-E-ISHAQ
      MERE HONTON PE HATH RAKH K WOH RO PARE THY"

      kitni sachai hai in lafoz mein ..:)
      Last edited by ahsaas; 31 August 2007, 12:15.

      Comment


      • #4
        Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

        very good.....bhot acha likha hai....

        Comment


        • #5
          Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

          :salam::)

          Comment


          • #6
            Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

            zaberdast je:clap: jitni bhi tareef ki jay otni hi kam
            Rob :eye:

            Comment


            • #7
              Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

              Oh hooooo



              Kia baat hai Buhat Khoob
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                Masood saheb
                aap ki ghazal kuch din pehlay dekhi thii
                ghazal meN aap ne achche mazameen baandhe heN
                maiN aap ke ashaar kuch tabdeeli ke saath bahar meN kar post kar rahi huuN
                umeed hai aap ko bura nahiN lage ga
                regards
                zmufti

                aap ke har sher ke muqabil red color meN apni tajweez di hai

                mafool/ mufaaeel/mufaeel/faolun

                yaadoN ko samaituuN to kayyii saal lagieN ge
                logon ko sunaata kyaa jo be tab khaRe the



                yaadoN ko samaitne meN maah-o-saal pare the
                daastaan-e-ishq sunne ko log tayaar khaRe the

                roodaad-e-muhabat maiN kahiN naam na aaye
                yeh keh ke juda ham se vo har baar hue the


                aik hi saans meN suna deta maiN roodaad-e-ishq
                mere hoNtoN pe vo haath raskh ke ro pare the


                1. jazbaat ke toofaan maiN ham ghir se gayye the
                Sadme jo judaaii ke hamieN tu ne diyye the


                dobte hue dil ki nabzeN bikhar rahi thiiN
                bipharte hue jazboN ke saaghar chalak pare the

                khushioN se bhara hai jo chaman aaj tumhara
                ham ne bhee wahiiN to apne armaan gaRe the


                boya hai jahaN tu ne apni shaadmaanioN ka phool
                ussi zameeN meN maiN ne apne armaan gaRe the


                Is aankh ko kassa na kahieN aap khudara
                ashkoN ke sitaarey bhee yahiiN se to jhaRe the


                na ToR isse aye zaalim yeh kaasa hai meri aankhoN ka
                ashkoN ke chaand sitaaroN se yeh moti jaRe the


                is ishq ne masood ko choRa na kahiN ka
                karne ko to duniya meN buhat kaam pare the


                ishq ne kar diyya hai tamaam jahaN se la taaluq
                karne ko duniya meN masood kaam bare the

                Comment


                • #9
                  Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                  boya hai jahan tum ne apni shadmaniyon ka phool
                  usi zameen mein mene apne armaan garay thay

                  waaah kitni ghehrai se likhi gai hai ye gazal
                  ek ke lafz mein kitni ghehrai hai lajawab janab
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                    wah zabardast
                    kya hum isse design ker sakte hian?
                    Koi Kash Dil Pe Zara Haath Rakh De
                    Mere Dil K Tukro Ko Ik Saath Rakh De
                    Magar Ye Hain Khawabo Khayalo Ki Baatein
                    Kabhi Toot Ker Cheez Koi Jori Hai?

                    Comment


                    • #11
                      Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                      Originally posted by ArAbIaN gIrL View Post
                      wah zabardast
                      kya hum isse design ker sakte hian?

                      Zah-e-Naseeb :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                        Masood Sahib Eshak ho to pher kaam kaisy?
                        ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                        372-haha372-haha372-haha

                        Comment


                        • #13
                          Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                          Originally posted by KurriPunjaban View Post
                          Masood Sahib Eshak ho to pher kaam kaisy?
                          Yehi to kaha hai keh warney karney ko duniya mein kaam badey they :p
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                            Originally posted by Masood View Post
                            Yehi to kaha hai keh warney karney ko duniya mein kaam badey they :p
                            Eshak...............................Hay kash logon ko samaj ajay....
                            u know resently main ny teen books parhi hain
                            Eshak ka ain
                            eshak ka sheek
                            aur eshak ka kaaf


                            kia baat hy eshak kee..amzing books
                            ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                            372-haha372-haha372-haha

                            Comment


                            • #15
                              Re: Yadon Ko Sametney Mein Maah-o-Saal Parrey They

                              Ishq ka Sheen to yeh hai:
                              http://www.pegham.com/showthread.php?t=11193

                              aur haan ji ishq ki kya hi batein hai, kabhi pedah kabhi pinhaa, kabhi zahir kabhi posheedah, kabhi wisal, kabhi hijar, kabhi aabadi kabhi barbadi :)
                              http://www.pegham.com/showthread.php?t=9199

                              http://www.pegham.com/showthread.php?t=264
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X