Meri Shairi mein aksarriyat kalaam us dor ki hai jab mein abhi teen-age mein tha. Yeh kalaam jo abhi share karney jaa raha hoon yeh us waqt ka hai jab main ghalban abhi 15 saal ka tha. Mulahiza kijiye:
Insaan Jo Sochta hai
Insaan Jo Sochta hai
Insaan jo sochta hai, qismat mein woh nahin
mehboob jo chahta hai, muhabbat mein woh nahin
bohat si aasein lgata hai woh apni taqdeer sey
khawab jo dekhta hai, haqeeqat mein woh nahin
duniya ney samjhaa hai hamarey pyaar ko deewangi
jahan jo samajhta hai, chahat mein woh nahin
qafas mein tadap raha hai ik be-zubaan qaidi
aazadi jo chahta hai, hurriyat mein woh nahin
yeh sona, yeh chandi, yeh dolat tujhey mubarak ho
Masood jo chahta hai, hasra mein woh nahin

Comment