ek taazah kalaam urduduniya aur uske chaahne waaloN kee nazr ba'Ad az aadaab o tasleemaat ke Arz e Khidmat hai
ko'ee tow ho jo meraa yahaaN humzubaan ho
jo meraa hum Khayaal miraa qadrdaan ho
iss matlabee jahaan meN tanhaa khaRaa hooN maiN
tum hee ho miree zindagee , tum hee jahaan ho
tum mujh ko dow sahaaraa maiN tum ko duN HauSlah
phir samt aasmaaN ke humaaree uRaan ho
aiHsaas ek doosre kaa hum ko ho agar
KhushiyaaN bikhere zindagee bhee shaadmaan ho
hum mushkiloN kaa haNste huwe saamnaa kareN
tow Khaardaar zindagee bhee gul gumaan ho
aaow "Khayaal" pyaar kareN zindagee se hum
aur zindagee bhee pyaar kare mehrbaan ho
Ismail Ajaz Khayaal

Comment