urdujahaaN ke 26veN taraHee mushaaErah kee Ghazal PEGHAM ke chaahne waaloN kee nazr aur Khayaal kaa aadaab !!!!!!!!!!!
Arz e Khidmat hai
kuchh kahaa keejiye kuchh sunaa keejiye
sach kaa har Haal meN saamnaa keejiye
aaNkhoN aaNKhoN meN hum sab samajh jaa'eN ge
aaNkhoN aaNkhoN meN kuchh bhee kahaa keejiye
aap se milnaa tow Khwaab kee baat hai
aa ke KhwaaboN meN hum se milaa keejiye
apne dil meN jagah hum ko de kar sadaa
aap dil meN humaare rahaa keejiye
jab humeN dekhne kee Zaroorat paRe
" saamne aa'inah rakh liyaa keejiye "
ek saa waqt raihtaa naheeN hai kabhee
abb bharosah nah sab peh kiyaa keejiye
ikk tabassum se TooTaa huwaa dil juRe
dil ke juRne kee kuchh tow dawaa keejiye
jo milaa hai muqaddar woh hai aap kaa
apnee taqdeer se Khush rahaa keejiye
aap ke rooThne se nikaltee hai jaaN
jaan ! yuN jaan se nah judaa keejiye
zindagee ! chaar din hai guzar jaa'ey gee
Khair har pal rahe bas , duAa keejiye
hai humaaraa yeh dil aap hee kaa sadaa
ban ke dhaRkan see dil meN basaa keejiye
hum se nazreN bachaa kar guzar jaa'iye
par humaaree nazar se bachaa keejiye
bewafaa'oN kaa hai yeh zamaanah "Khayaal"
bewafaa'oN se bhee abb wafaa keejiye
Ismail Ajaz Khayaal
Arz e Khidmat hai
kuchh kahaa keejiye kuchh sunaa keejiye
sach kaa har Haal meN saamnaa keejiye
aaNkhoN aaNKhoN meN hum sab samajh jaa'eN ge
aaNkhoN aaNkhoN meN kuchh bhee kahaa keejiye
aap se milnaa tow Khwaab kee baat hai
aa ke KhwaaboN meN hum se milaa keejiye
apne dil meN jagah hum ko de kar sadaa
aap dil meN humaare rahaa keejiye
jab humeN dekhne kee Zaroorat paRe
" saamne aa'inah rakh liyaa keejiye "
ek saa waqt raihtaa naheeN hai kabhee
abb bharosah nah sab peh kiyaa keejiye
ikk tabassum se TooTaa huwaa dil juRe
dil ke juRne kee kuchh tow dawaa keejiye
jo milaa hai muqaddar woh hai aap kaa
apnee taqdeer se Khush rahaa keejiye
aap ke rooThne se nikaltee hai jaaN
jaan ! yuN jaan se nah judaa keejiye
zindagee ! chaar din hai guzar jaa'ey gee
Khair har pal rahe bas , duAa keejiye
hai humaaraa yeh dil aap hee kaa sadaa
ban ke dhaRkan see dil meN basaa keejiye
hum se nazreN bachaa kar guzar jaa'iye
par humaaree nazar se bachaa keejiye
bewafaa'oN kaa hai yeh zamaanah "Khayaal"
bewafaa'oN se bhee abb wafaa keejiye
Ismail Ajaz Khayaal
Comment