khayaal ek baar phir apne kalaam ke saath aiHbaab ke Zauq o shauq ko malHooz e Khaatir rakhte huwe aap sabkee kee Khidmat meN aadaab bajaa laataa hai
Arz e Khidmat hai:phool:
ban ke sooraj ujaalaa kiyaa keejiye
yuN diye keetaraH mat jalaa keejiye
har zamaanah rahe aap kaa humsafar
zindagee isstaraH se jiyaa keejiye
duuriyoN meN bhee qurbat rahe darmiyaaN
faaSloN meN yuN ulfat rakhaa keejiye
zindagee meN nasheb o faraaz aa'eN ge
jab bhee chaliye saNbhal kar chalaa keejiye
koee naashaad naa ho , sabhee shaad hoN
sabkee KhushiyoN meN shaamil huwaa keejiye
dekhiye KhoobiyaaN apne chaaroN taraf
Ayebjo'ee se har dam bachaa keejiye
naagawaaree se chehrah bigaR jaa'ey gaa
sab se haNste huwe hee milaa keejiye
aapkee shaKhSiyat se yeh mahke faZaa
phool ban ke diloN meN khilaa keejiye
waqt achchaa buraa sab guzar jaa'ey gaa
bas "Khayaal" har ghaRee Khush rahaa keejiye
Ismail Ajaz Khayaal
:hii:
Arz e Khidmat hai:phool:
ban ke sooraj ujaalaa kiyaa keejiye
yuN diye keetaraH mat jalaa keejiye
har zamaanah rahe aap kaa humsafar
zindagee isstaraH se jiyaa keejiye
duuriyoN meN bhee qurbat rahe darmiyaaN
faaSloN meN yuN ulfat rakhaa keejiye
zindagee meN nasheb o faraaz aa'eN ge
jab bhee chaliye saNbhal kar chalaa keejiye
koee naashaad naa ho , sabhee shaad hoN
sabkee KhushiyoN meN shaamil huwaa keejiye
dekhiye KhoobiyaaN apne chaaroN taraf
Ayebjo'ee se har dam bachaa keejiye
naagawaaree se chehrah bigaR jaa'ey gaa
sab se haNste huwe hee milaa keejiye
aapkee shaKhSiyat se yeh mahke faZaa
phool ban ke diloN meN khilaa keejiye
waqt achchaa buraa sab guzar jaa'ey gaa
bas "Khayaal" har ghaRee Khush rahaa keejiye
Ismail Ajaz Khayaal
:hii:
Comment