Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

" badal rahe haiN sabhee sitaare madaar apnaa "

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • " badal rahe haiN sabhee sitaare madaar apnaa "

    Khayaal apnee taKhleeq ke saath PeGham aur urdu ke chaahne waaloN kee Khidamt meN aadaab ke saath apnaa kalaam pesh kartaa hai

    Arz e Khidmat hai

    suKhanwaroN meN karo naheeN tum shumaar apnaa
    keh dil peh raihtaa naheeN hai phir iKhtiyaar apnaa

    Khud apnee tauSeef o AzmatoN par QaSeede likh kar
    yuN shaaEroN ne lagaa liyaa ishtihaar apnaa

    tum apnee qismat ko aazmaaow keh waqt hai yeh
    " badal rahe haiN sabhee sitaare madaar apnaa "

    muHabbatoN meN KhulooS shaamil karow keh abb tow
    GharaZ ne qaa'im kiyaa huwaa hai HiSaar apnaa

    tumaare aane se ghar meN har soo bahaar thee aur
    tumaare jaane se luT gayaa hai qaraar apnaa

    chaman guloN se mahek rahaa hai sajee hai dhartee
    KhizaaN ko jalwah dikhaa rahee hai bahaar apnaa

    mire raqeeboN kaa saath detaa hai aa'inah bhee
    kaho yeh paikar paree se roke siNghaar apnaa

    nazar milaa ke nazar ke pyaaloN ke jaam bhar dow
    utar nah jaa'ey "Khayaal" dil se Khumaar apnaa

    Ismail Ajaz Khayaal
    Attached Files
    Last edited by Ismail Ajaz; 24 August 2011, 12:58.
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Working...
X