Pakistan kaa 64vaaN saal yaum e aazaadee (2011) aur hum
jashn e aazaadee manaane ko bhee hum tayyaar haiN
apnee barbaadee ke bhee hum sab alambardaar haiN
KhooN bahaa kar nafratoN meN ek dooje kaa yahaaN
zindah raihne ke liye sab bar sar e paikaar haiN
nafrtoN KhudGharZiyoN kaa khol kar har soo maHaaZ
mulk meN bad amniyoN ke hum hee Zimmah daar haiN
ek haiN hum millee naGhmoN aur taraanoN meN magar
mil ke raihne ke liye hargiz naheeN tayyaar haiN
aiHtijaajee dharne , yaa Zulm o tashaddud ke liye
barq se bhee ziyaadah har samt hum sabuk raftaar haiN
ko'ee muCbat kaam karne ke liye raaZee naheeN
mulk o millat woh saNwaareN jin ko yeh darkaar haiN
pichhle chauNsaTh saaloN meN seekhaa hai har ikk ne yahaaN
maiN SaHeeH baaqee Ghalat ! jitne haiN sab bekaar haiN
aasmaaN se chaaNd taare toR laa'eN hum magar
laRne marne ke siwaa , furSat nah abb afkaar haiN
aaj bhee apne watan se hum ko beHad pyaar hai !
yeh alag hai baat hum karte naheeN iZhaar haiN
mulk kee ta'Ameer o Khush'Haalee kee koshish hum kareN
kaise hai mumkin bhalaa , isske liye sarkaar haiN
jaan mulk o qaum kee Khaatir kareN qurbaaN "Khayaal"
jaane kyuN hum lowg saare beHis o bezaar haiN
Ismail Ajaz Khayaal

Comment