aa'iye hum sab milkar baargaah e rabbul izzat meN duAa maaNgeN
aiHsaas e nidaamat bhee huwaa hai sadaa mujhe
meree Khataa'oN kee jo sazaa de Khudaa mujhe
maiN sab se baaKhabar rahaa ,aur tujh se beKhabar
yeh qalq aur afsos hai , rabbul ulaa mujhe
ho humsafar har ek hee abb meraa humKhayaal
de fikr o fan , soch kee aisee kalaa mujhe
maiN SubH o shaam aaKhirat ke Gham meN hee jiyuN
aisee sabeel e muStafaa kee de ziyaa mujhe
maiN maqSad e Hayaat par rakkhooN nazar tamaam
yuN nafs aur shaitaan se maalik bachaa mujhe
de Aajizee o inkisaaree , ilm e ma'Arifat
aur aagahee , sha'oor ko tuu de sikhaa mujhe
aayaa hooN teree baargaah meN iltijaa liye
kar maGhfirat kee maut mere rab ataa mujhe
arz e "Khayaal" hai yeh faqat dostoN se aaj
rakhiye humeshah yaad bhee waqt e duAa mujhe
Ismail Ajaz Khayaal