maaN ke Huzoor nazraanah aqeedat ke saath Khayaal kaa aadaab
arz e Khidmat hai
Azeem martabah , hastee e dow jahaaN kahiye
wajood e nao e bashar kee hai daastaaN kahiye
Khudaa ke qurb o muHabbat kaa armuGhaaN kahiye
safar Hayaat kaa jis se ho jaavedaaN kahiye
panaah sukoon o taHaffuz kaa saa'ibaaN kahiye
yaa wus'atoN ko liye ek aasmaaN kahiye
zameeN ke jaisaa HaseeN paikar e jahaaN kahiye
muHabbatoN kaa samandar hai bekaraaN kahiye
jo dooriyoN meN bhee qurbat kaa ho nishaaN kahiye
guloN kee Khushboo bahaaroN kaa kaarwaaN kahiye
KhulooS pyaar muHabbat kaa tarjumaaN kahiye
diloN ko joRe jo bandhan woh mehrbaaN kahiye
adaawatoN meN muHabbat kee ik zubaaN kahiye
miTaa ke teergee raushan kare jahaaN kahiye
falaaH kee raah peh manzil kee kaihkashaaN kahiye
Khushee ke raNg bikhere woh aashiyaaN kahiye
bahisht paa'oN tale jis ke hai nihaaN kahiye
"Khayaal" pyaar muHabbat se usko maaN kahiye
Ismail Ajaz Khayaal :phool:

Comment