ek kalaam aiHbaab kee Khidmat meN baad az aadaab o tasleemat ke:hii:
arz kiyaa hai
aaj galee meN kaihtaa yeh majZoob gayaa
kufr kiyaa jis ne bhee woh maGhZoob gayaa
nafs aur shayetaaN se hokar maGhloob gayaa
raGhbat e dunyaa jo lekar mansoob gayaa
pohNch gayaa woh apnee manzil par aaKhir
jo bhee ban kar Allah kaa maHboob gayaa
jaate huwe jo rab ko raaZee kar le gaa
baNdah mo'min dunyaa se woh Khoob gayaa
likkhaa jo bhee qismat meN thaa kaatib ne
mujh ko har dam har pal hee marGhoob gayaa
Sabr o shukr kaa daaman jis ne nah chhoRaa
"Khayaal" falaaH kaa paikar woh maNdoob gayaa
Ismail Ajaz Khayaal:salam:

Comment