Dr.Allamah Iqbal raHmatullaah alaih
kee zameen (kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar)
arz e Khidmat hai
kaar e jahaaN meN ghir ke tuu uqba nah sharmsaar kar
baaGh e bahisht ke liye taqwa bhee iKhtiyaar kar
hosh o Khirad shikaar haiN ,qalb o nazar beemaar ke
raft e safar tuu ruKh SaHeeH se Khud ko humkinaar kar
tuu hai muHeet e qalb o jaaN mat ghoom phir yahaaN wahaaN
Khudee ko DhooND Khud meN tuu aur Khud peh aashkaar kar
eemaan aur yaqeen kee bunyaad par jee le Zaraa
islaam kee aawaaz par yeh zindagee niCaar kar
naGhmah nau bahaar kee tuu faSl e gul ugaa ke abb
khilaa de ulfatoN ke phool har taraf bahaar kar
gesoo e taabdaar ke saiHar se tuu nikal ke aa
"Khayaal" ilm o aagahee se dil ko taabdaar kar
Ismail Ajaz Khayaal

Comment