Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

maut kaa khel kyuN ?????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • maut kaa khel kyuN ?????

    PeGham ke chaahne waaloN ko aadaab
    Pakistan Cricket team ke kaptaan shahid afridi ke aabaa'ee gaa'oN meN 2 chachaa zaad bhaa'iyoN ne lowgoN kee ta'Anah zanee se taNg aakar Khudkoshee kar lee,isee taraH ek KhaatooN jo ke Haamilah bhee theeN shiddat e Gham se shaahid afridi ke (out) aauT ho jaane par Khudkushee kar lee,yeh kalaam un aiHbaab aur un tamaam aiHbaab kee nazr jo hindustaan aur paakistaan ke maabayen hone waale khel ko khel naheeN izzat kaamu'Aamlah samajhte haiN

    arz e Khidmat hai


    humaaree haar se tum ne bhalaa kyuN Khudkushee karlee
    milaa kyaa jaan khone se GhamoN meN kyaa kamee karlee

    jisey kaihtee hai dunyaa khel tum bhee khel isey samjho
    banaa kar mas'alah tum ne ajeeran zindagee karlee

    amaanat zindagee hai yeh Khudaa kee dee hu'ee har pal
    kyuN tum ne iss amaanat meN Khayaanat kee sa'Eee karlee

    tumhaaree jaaNfishaanee sab akaarat ho ga'ee dekho
    miley gee abb sazaa tum ko keh Haalat kufr kee karlee

    humaaree haar humko yeh sabaq detee hai jeene kaa
    hu'ee jab teergee tow dil jalaa kar raushnee karlee

    "Khayaal" hum ne tow jeevan se yehee aNdaaz seekhaa hai
    milaa jab bhee nayaa Gham dil lubhaane ko Khushee karlee

    Ismail Ajaz Khayaal
    Attached Files
    Last edited by Ismail Ajaz; 7 April 2011, 13:22.
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: maut kaa khel kyuN ?????

    اسلام وعلیکم
    واہ اسمٰعیل بھائی بہت ہی عمدہ نظم
    اور فل بدی شاعری ہر کسی کے بس کی بات نہیں
    نئے حالات کے مطابق یکدم الفاظ کا چناو کسی کسی کا کام ہے
    بہت خوب مزید کاوشوں کا انتظار رہے گا
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: maut kaa khel kyuN ?????

      بہت ہی عمدہ نظم
      مزید شئیرنگ کا انتظار رہے گا

      Comment


      • #4
        Re: maut kaa khel kyuN ?????

        kya ye baat sach hai? agar ye sach hai to bahot bura hua..aisa nahi karna chahiye tha..unko ye baat yaad rakhni chahiye ki dunia me har tarah ke log rehte hain, kuch log taana zanee karte hain to kuch tareef karte hain.ye to dunia ka ek riwaaz ban gaya hai.sabr se kaam lena chahiye unko.

        Comment


        • #5
          Re: maut kaa khel kyuN ?????

          Originally posted by S.A.Z View Post
          اسلام وعلیکم
          واہ اسمٰعیل بھائی بہت ہی عمدہ نظم
          اور فل بدی شاعری ہر کسی کے بس کی بات نہیں
          نئے حالات کے مطابق یکدم الفاظ کا چناو کسی کسی کا کام ہے
          بہت خوب مزید کاوشوں کا انتظار رہے گا
          janaab moHtaram S.A.Z SaaHeb

          izzat afzaa'ee aur pazeeraa'ee ke liye shukrguzaar hooN,Allah aap ko sada Khush rakkhe

          mamnoon
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment


          • #6
            Re: maut kaa khel kyuN ?????

            Originally posted by Nadia khan View Post
            بہت ہی عمدہ نظم
            مزید شئیرنگ کا انتظار رہے گا
            Nadia Khan jeetee rahiye salaamat rahiye Allah aap ko Khush rakkhe
            Ismail Ajaz (Khayaal)

            muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
            Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

            Comment


            • #7
              Re: maut kaa khel kyuN ?????

              Originally posted by asiffame View Post
              kya ye baat sach hai? agar ye sach hai to bahot bura hua..aisa nahi karna chahiye tha..unko ye baat yaad rakhni chahiye ki dunia me har tarah ke log rehte hain, kuch log taana zanee karte hain to kuch tareef karte hain.ye to dunia ka ek riwaaz ban gaya hai.sabr se kaam lena chahiye unko.
              janaab asiffame SaaHeb
              salaam qubool farmaa'iye
              Allah aap ko Khush rakkhe bilkul maiN aap kee naSeeHat aamoz tabSirah nigaaree ke liye mamnoon hooN ,aap kee tashaffee ke liye gawaahee ke taur par Express News E page #3 national / international of 1st April 2011 kee attachment Haazir e Khidmar hai
              Attached Files
              Last edited by Ismail Ajaz; 7 April 2011, 10:51.
              Ismail Ajaz (Khayaal)

              muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
              Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

              Comment


              • #8
                Re: maut kaa khel kyuN ?????

                nice sharing..

                Comment

                Working...
                X