Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

    ek taazah kaavish aiHbaab e urduduniya aur uske chaahne waaloN kee nazr baad az aadaab

    arz e Khidmat hai


    phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum
    aiHsaas e zindagee ko aise jagaa'eN hum

    taareekiyaaN miTaa deN nafrat kee raahoN se
    ulfat ke deep itne har pal jalaa'eN hum

    chaNd din kee zindagee meN jitnaa bhee waqt hai
    KhushiyoN ke raNg usmeN aaow sajaa'eN hum

    maanaa safar kaThin hai aur mushkileN bhee haiN
    himmat o HauSloN se baRhte hee jaa'eN hum

    jitnee bhee zindagee hai guzar jaa'ey gee sunow !
    row kar guzaar deN yaa haNs kar bitaa'eN hum

    sab se kareN muHabbat sab se mileN "Khayaal"
    shikwe gile bhula kar bas muskuraa'eN hum


    Ismail Ajaz khayaal

    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

    Assalaam-O-alaikum

    Kia baat hay Ismail sahab, aik aur ba-wazan, ba-kirdar bayis-e-khusi wa iftikhaar!

    bohat hi umda kalam paish kia hay aap nay, jissay paRh kar rooh ko taazgi naseeb hoyee, jazbaat-o-ahsasaat ki tajdeed hoyee aur khayaal-o-soch ko bulandii naseeb hoyee!

    likhtay rahyeh aur humain apnay khoobsurat kalam say mustafeed kartay rahyeh.

    Khush rahyeh

    Fi amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

      اسلام وعلیکم
      اسمٰعیل بھائی
      بہت ہی عمدہ اُمید افزا اور حوصلہ دینے والی تحریر لکھنے پر "داد،ریپو"حاصل کیجئے
      بہت ہی عمدہ اور نفیس کلام تحریر کیا ہے آپ نے
      مزید خوبصورت تخلیقات کا انتظار رہے گا
      اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
      :star1:

      Comment


      • #4
        Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

        Originally posted by thefire1 View Post
        Assalaam-O-alaikum

        Kia baat hay Ismail sahab, aik aur ba-wazan, ba-kirdar bayis-e-khusi wa iftikhaar!

        bohat hi umda kalam paish kia hay aap nay, jissay paRh kar rooh ko taazgi naseeb hoyee, jazbaat-o-ahsasaat ki tajdeed hoyee aur khayaal-o-soch ko bulandii naseeb hoyee!

        likhtay rahyeh aur humain apnay khoobsurat kalam say mustafeed kartay rahyeh.

        Khush rahyeh

        Fi amaan ALLAH
        janaab mann

        salaam aap kee Khidmat meN ,taaKheer hu'ee mu'Aazirat Khwaah hooN

        pazeeraa'ee HauSlah afzaa'ee ke liye saraapaa e sipaas guzaar hooN

        mamnoon
        Ismail Ajaz (Khayaal)

        muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
        Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

        Comment


        • #5
          Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

          Originally posted by S.A.Z View Post
          اسلام وعلیکم
          اسمٰعیل بھائی
          بہت ہی عمدہ اُمید افزا اور حوصلہ دینے والی تحریر لکھنے پر "داد،ریپو"حاصل کیجئے
          بہت ہی عمدہ اور نفیس کلام تحریر کیا ہے آپ نے
          مزید خوبصورت تخلیقات کا انتظار رہے گا
          اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
          janaab moHtaram S.A.Z SaaHeb

          iss muHabbat o inaayat ke liye Sameem e dil se mamnoon hooN

          Allah aap ko sadaa Khush rakkhe

          niyaazmaNd
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment


          • #6
            Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

            nice sharing..

            Comment

            Working...
            X