Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

    ek taazah kalaam peGhaam ke chaahne waaloN kee nazr

    arz kiyaa hai

    nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh
    zameeN kee aajizee o baiHr e bekaraaN bhee dekh

    tuu apnee soch ke maiHdood daa'iroN se nikal
    Khirad kee aaNkh se qudrat ke kaarwaaN bhee dekh

    tamaam umr kyaa tuu KhaamiyaaN hee dekhe gaa
    chhupee haiN doosroN meN kitnee KhoobiyaaN bhee dekh

    HuSool e duniyaa ko maqSad banaa liyaa tuu ne
    tujhe bhee jaanaa hai tow soo'ey raftgaaN bhee dekh

    nikaal dil se adaawat o kibr o nafrat ko
    tuu muskuraa ke Zaraa shakl e dilbaraaN bhee dekh

    Khafaa Khafaa saa tuu kyuN Khud se rooThaa raihtaa hai
    tuu zindagee meN kabhee Khud ko shaadmaaN bhee dekh

    "Khayaal" dekh le Khud ko nikaal kar furSat
    tuu apne aap ko kuchh ho ke mehrbaaN bhee dekh

    Ismail Ajaz Khayaal

    Attached Files
    Last edited by Ismail Ajaz; 24 January 2011, 11:18.
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

    Assalaam-O-alaikum Ismail Sahab

    Kia kehnay aap kay, kia aala soch hay aur kia khoobsurat ghazal hay jiss main nasihat bhi hay aur kahawat bhi, khushdili bhi aur khushmizaji bhi, mohabbat bhi aur chahat bhi, mahaz humain zindagi jeenay ka aik saleeqa sikhaati hoyee yeh ghazal mudatton dil-O-dimaagh per markooz rahay giii...

    Bohat shurkiya kay aap nay hum say issay share kia aur humain zindagi jeenay kay aik asaan tareeqa bata diya.

    Waisay sab hi ashaar lajawaab hain, magar inn do shairoon nay tou jaisay QATAL hi kardiya ho, apnay riwayti andaaz main kahoon ga "Mehfil hi loot lee aap nay" :)

    tamaam umr kyaa tuu KhaamiyaaN hee dekhe gaa
    chhupee haiN doosroN meN kitnee KhoobiyaaN bhee dekh
    nikaal dil se adaawat o kibr o nafrat ko
    tuu muskuraa ke Zaraa shakl e dilbaraaN bhee dekh

    Keep sharing, aur likhtay rahyeh bohat khoob likhtay hain aap.

    Fi amaan ALLAH
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

      اسلام علیکم
      اعجاز بھائی
      بہت دنوں بعد امد ہوئی سب خیریت تو رہی؟؟
      اس قدر عمدہ شاعری آپ ہی کا "اعجاز"ہے
      نہائت مناسب اشعار جن کا ردیف و قافیہ ربط و ضبط لئے ہوئے
      ؎حصول دنیا کو مقصد بنا لیا تو نے
      تجھے بھی جانا ہے تو سوئے رفتگاں بھی دیکھ
      اُمید ہے شئیرنگ کا یہ سلسلہ جاری وساری رہے گا
      اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
      Last edited by S.Athar; 24 January 2011, 22:12.
      :star1:

      Comment

      • #4
        Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

        waooo vvvnice
        bayhad khobsorat

        Comment

        • #5
          Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

          Originally posted by thefire1 View Post

          moHtaramee o mukarramee janaab

          salaam pesh e khidmat hai

          SaaHeb beHad mamnoon hooN maiN aap kee iss muHabbat o inaayat kaa aap ke KhulooS o chaahat kaa aap kee suKhanfahmee , baSeerat o aagahee kaa aap kee HauSlah afzaa'ee o pazeeraa'ee kaa

          Ghazal aap ko pasaNd aa'ee mere lihe baa'iC e iftiKhaar hai baa'iC e madaaowmat o istiqaamat hai

          Allah aap ko jaza e Khair ataa farmaa'ey

          mamnoon

          taalib e nazar
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment

          • #6
            Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

            Originally posted by S.A.Z View Post
            اسلام علیکم
            اعجاز بھائی
            بہت دنوں بعد امد ہوئی سب خیریت تو رہی؟؟
            اس قدر عمدہ شاعری آپ ہی کا "اعجاز"ہے
            نہائت مناسب اشعار جن کا ردیف و قافیہ ربط و ضبط لئے ہوئے
            ؎حصول دنیا کو مقصد بنا لیا تو نے
            تجھے بھی جانا ہے تو سوئے رفتگاں بھی دیکھ
            اُمید ہے شئیرنگ کا یہ سلسلہ جاری وساری رہے گا
            اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین

            janaab moHtaram S.A.Z SaaHeb

            aadaab o tasleemat

            aap kee zarrah nawaazwee ulfat o karamnawaazee pazeeraa'ee HauSlah afzaa'ee aap kee shuKhan shinaasee o suKhan fahmee ke liye saraapaa e sipaas guzaar hooN

            Allah aap ko duniyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzateN ataa famaa'ey

            beHad shukriyah aap kaa
            mamnoon
            Ismail Ajaz (Khayaal)

            muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
            Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

            Comment

            • #7
              Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

              Originally posted by T&T View Post
              waooo vvvnice
              bayhad khobsorat
              zarrah nawaazee hai aap kee Allah Khush rakkhe aap ko

              mamnoon
              Ismail Ajaz (Khayaal)

              muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
              Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

              Comment

              • #8
                Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

                Walaikum Asssalaam

                iss main mamnoon ki kia baat hay janab, aap ka andaz-e-tehreer hi itna dilkash hay kay tareefi alfaaz aur dili ehsaasaat khudh-ba-khudh lafzoon ki shakal ikhtiyaar kar kay tak-tak ungliyoon ki madad say meray computer ki key-pad kay saharay iss screen per bikhartay jaatay hain!!

                Isi tarah apni khoobsurat tehreer say humain mustafeed kartay rahyeh.

                Fi amaan ALLAH

                Originally posted by Ismail Ajaz View Post
                moHtaramee o mukarramee janaab

                salaam pesh e khidmat hai

                SaaHeb beHad mamnoon hooN maiN aap kee iss muHabbat o inaayat kaa aap ke KhulooS o chaahat kaa aap kee suKhanfahmee , baSeerat o aagahee kaa aap kee HauSlah afzaa'ee o pazeeraa'ee kaa

                Ghazal aap ko pasaNd aa'ee mere lihe baa'iC e iftiKhaar hai baa'iC e madaaowmat o istiqaamat hai

                Allah aap ko jaza e Khair ataa farmaa'ey

                mamnoon

                taalib e nazar
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Walaikum Asssalaam

                  iss main mamnoon ki kia baat hay janab, aap ka andaz-e-tehreer hi itna dilkash hay kay tareefi alfaaz aur dili ehsaasaat khudh-ba-khudh lafzoon ki shakal ikhtiyaar kar kay tak-tak ungliyoon ki madad say meray computer ki key-pad kay saharay iss screen per bikhartay jaatay hain!!

                  Isi tarah apni khoobsurat tehreer say humain mustafeed kartay rahyeh.

                  Fi amaan ALLAH

                  Khush rahiye sarkaar
                  Ismail Ajaz (Khayaal)

                  muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
                  Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

                  Comment

                  Working...
                  X