urdujahaaN ke mushaaEre meN likhee ga'ee Ghazal Yaaraan e peGham kee nazr baad az aadaab o tasleemaat ke
arz e Khidmat hai
hote bohot haiN faa'ide fard e areeb se
aql o Khirad ke silsile haiN go ajeeb se
kitnee bhee eHtiyaat karo raihtee hai kamee
miltee mareez ko tow shifaa hai naSeeb se
TooTee haiN istaraH se sabhee zabt kee HadeN
" beemaar abb ulajhne lage haiN tabeeb se "
paihle kee jaisee aap kee Soorat naheeN rahee
kaihte haiN lowg jaate huwe yeh qareeb se
gulshan KhizaaN raseedah hai aur dil bujhaa bujhaa
kartaa hooN aah o zaariyaaN maiN andaleeb se
mujh se nigaaheN chaar hu'eeN hoNT sil ga'ey
haNs haNs ke baat karte rahe woh raqeeb se
dil beqaraar hai miraa dhaRkan hai zer o bamm
guzre haiN muskuraa ke woh mere qareeb se
jeevan meN aisaa waqt bhee thaa dekhnaa "Khayaal"
bezaar ho rahe haiN sabhee mujh Ghareeb se
Ismail Ajaz (Khayaal)

Comment