aap kee aur tamaam paRhne waaloN kee nazr
aa'inah aap humeN yuN hee dikhaate rahiye
ummat e muslimah so'ee hai jagaate rahiye
abb yehee chehrah har ikk samt musalmaan kaa hai
badnumaa iss ke Khat o Khaal chhupaate rahiye
jo shajar ban ke Khameedah haiN naheeN sudhreN ge
nannhe paudoN ko magar Khamm se bachaate rahiye
phir se maihke gee zameeN aur yeh maihke gaa falak
apne atraaf meN yuN phool khilaate rahiye
ek din aa'ey gaa meHnat ka Camar nikle gaa
dil meN ulfat kee agar faSl ugaate rahiye
mu'aashrah Theek yeh ho jaa'ey gaa koshish keeje
bass "Khayaal" dil meN jagh sab ke banaate rahiye
niyaazmand
Ismail Ajaz Khayaal

Comment