ek nazm aiHbaab kee nazr baad az aadaab o tasleemat ke
arz kiya hai
dabee dabee see haNsee tumhaare
laboN peh aa ke jo rukk ga'ee hai
usse na roko ! yeh rukk ga'ee tow..!
yeh saare manzar yeh saaree dunya
hai chaar din kee humaaree dunya
udaasiyoN ka nagar lage gee
GhamoN meN Doobee Dagar lage gee
tum haNs dow thoRa sa muskura dow
"khayaal" hum ko humaaree dunya
Haseen jannat ka ghar lage gee
hazaaroN KushiyoN ka dar lage gee
zameeN ko sabkee nazar lage gee
Ismail Ajaz khayaal
arz kiya hai
dabee dabee see haNsee tumhaare
laboN peh aa ke jo rukk ga'ee hai
usse na roko ! yeh rukk ga'ee tow..!
yeh saare manzar yeh saaree dunya
hai chaar din kee humaaree dunya
udaasiyoN ka nagar lage gee
GhamoN meN Doobee Dagar lage gee
tum haNs dow thoRa sa muskura dow
"khayaal" hum ko humaaree dunya
Haseen jannat ka ghar lage gee
hazaaroN KushiyoN ka dar lage gee
zameeN ko sabkee nazar lage gee
Ismail Ajaz khayaal
Comment