maah e ramzaaN ke liye aa'iye mil ke kuchh koshisheN karte haiN
.................................................. ..................
maah e ramzaaN aagayaa phir le ke apnee barkateN
raHmatoN kee baarisheN aur nekiyoN kee laZZateN
rozahdaaroN ke liye fikr o amal kee quwwateN
shukr o Sabr, maiHnat mushaqqat, jism o jaaN kee SoorateN
nafs aur aur shayetaan ko hone lageN gee mushkileN
rooH e paakeezah ko har pal raaHatoN kee manzileN

SaaHeb e quraan ke saNg zaahidoN kee SoHbateN
nekiyoN kaa shauq har dam KhoobiyoN kee chaahateN
Sirf Allah ke raZaa meN hoN gee sab ibaadateN
zindagee meN kar ke shaamil sab nabee (SAW) kee sunateN
ek dooje ke liye ulfat kee ban ke saa'ateN

aaow hum tum aihd kar leN abb nah hoN gee laGhzisheN
ho ke taa'ib maaNg leN hum raHmateN aur baKhshisheN
jitnaa hum se ho sake gaa hum kareN ge koshisheN
Khatm kar ke raNjisheN aur nafratoN kee bandisheN
hum "Khayaal" abb naam kar leN chaahatoN kee jannateN

Comment