shumaal maGhrabee Paakistaan aue barsaat kee karam nawaaziyaaN
har taraf paanee hai dekho har taraf barsaat hai
bebasee kee naaow hai aur saihmee saihmee Zaat hai
meree dunyaa hai yehee ,hai meraa sarmaayaa yehee
barsar e paikaar jeene ke liye Hayaat hai
aasmaaN barsaa hai aise keh zameeN bhee taNg hai
kyaa kahooN abr e karam kee kaisee yeh sauGhaat hai
dekh kar manzar karo HaaSil Zaraa ibrat "Khayaal"
zindagee kaa ism e Caanee "gardish e Haalaat" hai

Comment