Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

taraHee Ghazal urduanjuman maiHfil e peGhaam kee nazr

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • taraHee Ghazal urduanjuman maiHfil e peGhaam kee nazr

    aihl e bazm ko aadaab,meree 24veN mushaa'ire ke liye ek kaavish urduanjuman ke liye jo maiN peGhaam ke tamaam paRhne waaloN chaahne waaloN kee nazr kartaa hooN

    arz kiya hai


    yeh hai kis taraH ki ulfat jo payaam tak nah pohNche
    tu miree galee se guzre tow salaam tak nah pohNche
    mire dil ke sab dareeche tiree chaah meN khule haiN
    tiree Khushbu'oN ke jhoNke mere baam tak nah pohNche

    mire seene meN jo dil hai tire naam se hee dharke
    tire dil kee dhaRkanoN ko yeh payaam tak nah pohNche
    miree aankhoN ke jazeere miree yaadon ke samandar
    tire dil ke saaHiloN peh kisee shaam tak nah pohNche

    miree tishnagee baRhaa kar tujhe mil rahee hai raaHat
    "tiraa haath Zindagee bhar kabhee jaam tak nah pohNche"
    tu bhee roz mujh ko dekhe tu bhee roz mujh ko tarse
    tire lab peh aaey shikwah tow kalaam tak nah pohNche

    miree zeest ke safar meN mire aas paas manzil
    mire saath chal rahee hai jo qayaam tak nah pohNche
    maiN "Khayaal" jee rahaa hooN bhalaa kaun se nagar meN
    jahaaan apnee jaaN kee qaamat SaHeeH daam tak nah pohNche


    Ismail ajaz Khayaal
    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Working...
X