Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

paiGhaam e aihliyaan e Paakistaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • paiGhaam e aihliyaan e Paakistaan

    aihliyaan e mumlikat Khudaadaad e pakistan kee nazr
    arz Khidmat hai

    itne beHis nah bano mere watan ke lowgo

    apne kirdaar ke iss jhol se baahar niklo
    tum tashaKhKhuS ke gire mol se baahar niklo
    wus'ateN dil meN karo payedaa watan kee Khaatir
    apne zehnoN peh chaRhe Khaul se baahar niklo

    itne beHis nah bano mere watan ke lowgo

    iss se paihle keh baheN Khoon ke daryaa har soo
    dekho nafrat bhare maaHaul se baahar niklo
    sach ko apnaao keh miltee hai falaaH kee manzil
    dowGhle roop o amal qaul se baahar niklo

    itne beHis nah bano mere watan ke lowgo

    apne bal bote peh izzat se bhee jeenaa seekho
    bheek o humdardee ke kashkaul se baahar niklo
    tum se hee Haakmiyat e qaum hai, maiHkoom ho tum
    jis se tafreeq ho uss bol se baahar niklo

    itne beHis nah bano mere watan ke lowgo

    abb bhee hai waqt "Khayaal" Khud ko Zaraa paihchaano
    ta'aSSubee firqah parast Ghaul se baahar niklo

    itne beHis nah bano mere watan ke lowgo

    Ismail ajaz Khayaal
    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: paiGhaam e aihliyaan e Paakistaan

    An eye openning sharing

    keep sharing ........ Khayaal jee

    Comment


    • #3
      Re: paiGhaam e aihliyaan e Paakistaan

      Originally posted by Mr.Khan View Post
      An eye openning sharing

      keep sharing ........ Khayaal jee
      Khush rahiye Khan SaaHeb
      Ismail Ajaz (Khayaal)

      muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
      Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

      Comment

      Working...
      X