Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

    woh jo motii se qatre kii ik booNd thii
    usse jabb milii dostii booNd kii
    tow jharna banii who bikharne lagii
    woh simtii sukaRne machalne lagii
    zameeN dhaNs ke raahoN meiN Dhalne lagii
    woh chanchal nadii meiN badalne lagii

    wahiin ek daryaa ka bhii zor tha
    baRa gehraa kaanoN paRa shot ha
    nadii ko jo dekha baihekne laga
    chhapaake uRa ke chaihekne laga

    nadii Dar ke raste badalne lagii
    saihemne simaTne saNbhalne lagii
    kabhi iss taraf tow kabhi uss taraf
    woh darya jo aaya nadii saamne
    baRhaa haath unglii laga thaamne
    Gazabb ho gaya haaN zulm ho gaya
    ho jaise ke maatam sitamm ho gaya

    uss daryaa ne taubaah bahot baar kii
    baRii naak ragRii aur faryaad kii
    kahaaN maantii thii woh ziddii nadii
    phir pal pal meiN rooThii woh lambii Sadii

    samandar meiN gum ho gaya phir KHAYAAL
    tha chehra woh PAIKAR muHabbat JAMAAL
    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

    اسلام علیکم
    آغاز اس نظم کا خوبصورت ترین تھا لیکن اختتام؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟
    نہیں ندیاں جتنی مرضی زور آور ہوں اُن کی تکمیل دریا کے ساتھ میل کرنے ہی سے ہوتی ہے۔شبنم سے دھارا ،دھارا سے ندی بنتی ہی دریا سے ملنے کے لئے ہے ندی دریا سے کنارا نہیں کرتی بلکہ دریا سے ملنے کے لئے تو چوٹیوں کو سر کرتی ہوئی دیوانگی کے ساتھ دریا سےملنے کو بے قرار راستے میں آنے والی ہر رکاوٹ کو روندتی ہوئی دریا سے مل کر قرار حاصل کرتی ہے۔
    اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
    :star1:

    Comment

    • #3
      Re: woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

      Originally posted by S.A.Z View Post

      janaab aap kee muHabbat aur KhulooS sar aaNkhoN par ,maiN aap kaa shukr guzaar hooN keh aap ne mujh naacheez par nazar e lkaram farmaa'ee bohot shukriyah aap kaa

      abb maiN arz kartaa hooN iss booNd jharne nadee daryaa aur samandar ke baare meN
      aSl meN yeh pyaar muHabbat kee baateN haiN ek laRke aur ek laRkee ke baare meN jab woh tanhaa tanhaa ek booNd ek qatre kee taraH hote haiN,magar ek din laRkee kee zindagee meN ek laRkaa daaKhil ho jaataa hai jiskaa aiHsaas us laRkee ko saraaseemah kar deta hai pareshaan kar detaa hai unmeN keNchaa taanee hotee hai takraar hotee hai,laRkaa ek daryaa kee taraH laaubaalee hai zoraawar hai laRkee nadee kee taraH chanchal hai sharmeelee hai kabhee shauKh hai tow kabhee ghuSeelee hai maGhroor hai akkhaR hai itraatee hai,naaraaz ho jaatee hai,laRkaa naadim hotaa hai mu'aafiyaaN maangta hai magar besood ,woh ziddee larkee us se aisee rooThtee hai ke lamHe SadiyaaN dikhaa'ee dete haiN,bil aaKhir woh laRkaa apnee maSroofiyaat kee dunyaa jise samandar kahaa hai gum hojaataa hai,jabkeh woh nadee dayraa ke dhaaroN meN shaamil ho chkee hotee hai aur apnaa aap daryaa ke Hawaale kar chukee hotee hai,muHabbat aisee taaqat hai jo pattharoN ko bhee pighlaa de bas yehee kaihne kee naakaam koshish kee hai

      ummeed hai aap meree baat ko samajh sake hoN ge

      mamnoon
      Ismail Ajaz (Khayaal)

      muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
      Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

      Comment

      • #4
        Re: woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

        Originally posted by Ismail Ajaz View Post

        میرے خیالات کی روشنی میں اپنی کہانی مکمل کرنے کا بہت بہت شکریہ :roseیہی بات تو میں نےبھی کہی ہے کہ ندیاں جتنی بھی زور آور کیوں نہ ہوں وہ دریا سے ملنےکی خاطر ہر رکاوٹ کو دور کرتی ہوئی دریا سے آ ہی ملتی ہیں
        لیکن آپ کی نظم کا اختتام ہوتا ہے
        کہاں مانتی تھی وہ ضدی ندی؟؟؟
        پھر پل پل میں روٹھی وہ لمبی صدی
        سمندر میں گم ہو گیا پھر خیال

        اس اختتام سے یہی تاثر اُبھرتا ہے کہ وہ ضدی ندی نہیں مانی اور دریا نا اُمید جا سمندر میں گم ہو گیا؟؟؟
        اُمید ہے آپ آئندہ بھی اپنی خوبصورت لیکن "نیچر "سے قریب ترین کلام سے نوازتے رہیں گے۔

        اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین۔
        Last edited by S.Athar; 25 July 2010, 16:58.
        :star1:

        Comment

        • #5
          Re: woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

          buhat khubsorat sharing

          Comment

          • #6
            Re: woh jo motee se qatre kee ikk booNd thee (nazm)

            Originally posted by Mr.Khan View Post
            buhat khubsorat sharing

            khush rahiye janaab Khan SaaHeb
            Ismail Ajaz (Khayaal)

            muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
            Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

            Comment

            Working...
            X