juRe raheN shaaKh ban ke mulk e azeem se hum
rahe salaamat yeh mulk o millat
keh nafratoN kaa wajood nah ho
muHabbatoN kaa jamood nah ho
hum ek dooje ke dil meN dhaRkeN
charaaGh ban kar hum aise chamkeN
keh zulmatoN kaa zahoor nah ho
nifaaq fisq o fujoor nah ho
juRe raheN shaaKh ban ke mulk e azeem se hum
rahe salaamat yeh mulk o millat
keh dooriyoN kee deewaar nah ho
jo bandhanoN meN daraaR nah ho
hum ek dooje ke saath raih leN
faraaKh dil ho ke dard saih leN
keh kuchh humeN naagawaar nah ho
juRe raheN shaaKh ban ke mulk e azeem se hum
rahe salaamat yeh mulk o millat
keh hum peh qarzah ,udhaar nah ho
hum ek dooje kee fikr bhee leN
paThe girebaaN o chaak see leN
nidaamatoN kaa shumaar nah ho
juRe raheN shaaKh ban ke mulk e azeem se hum
rahe salaamat yeh mulk o millat
keh hum meN bilkul bhee jhooT nah ho
kabhee bhee aapas meN phooT nah ho
hum ek dooje ke dil meN jee leN
muHabbatoN ke bhee jaam pee leN
juRe raheN shaaKh ban ke mulk e azeem se hum
Ismail Ajaz Khayaal
Comment