Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yaad!!!!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Yaad!!!!!!!

    iss poem ko read karney k baad ager koi insaaan kahey k buhat khoob ya wah wah tu i think iss poem k likhney waley k sath ziyadati hogi. yea poem innn makhsoos lafazon say buhat buhat buhat ziyada bher k hai

    iss k her lafaz main buhat ziyada gehraiyee hai. insaan ki zindgi main buhat saarey lamhaat atey hain lakin kuch lamhey humari zindgi ka sarmaya bun jatey hain ager wo khushgawaar lamhey hon tu humari khush kismati warna wo humain itna Tanha kar detey hain k dhondney say bhi humain humari pechaan nahi miltey. hum zindgi k iss safar main Tanha Musafir ho jatey hain

    or baaqi bachati hain Yaadain.............. sirf Yaadain

    unhi yaadon ki daastan biyaan ki aap ney buhat he khubsurat or anokhey andaaz main. aapki iss poem ki jitni bhi tareef ki jaye kum hai. buhat buhat buhat khooob really

    Main ney bhi yaad per aik poem likhi thi. aap jitni achi tu bilkul nahi likh paya lakin buss koshish ki thi apni feelings ko alfaaz deney ki

    ok aap say share karta hon.


    kahtey hain Waqat
    sub say bara marham hai
    waqat sub kuch bhula deta hai
    lakin kuch yadain aiseee hoti hain
    jo Mitaye nahi Mitatin
    jo waqat bhi mitta nahi patta
    kion k wo dil ki zameen pay
    Muhabat k qalam say
    Khaloos or Wafa ki
    siyaahi say Dil pay
    Naqash hoti hain
    Un Yadon say
    Zindgi k Taar Jorey hotey hain
    Sanson ki Rawangi
    or Dharkan ki
    Raftaar jori hoti hai
    Ager Wo yadain Mitt jayain to
    Hum inhain bhool jayain to
    Zindgi k Taar Toot jateyhain
    sanson ki Rawangi
    or Dharkan ki Raftaar too jati hai
    Kuch Yadain gaheri hoti hain
    kuch yadain Mitaye nahi mitatin
    kuch yadain bhulayee nahi jatin
    kuch yadain kuch karwi yadain
    Jinhain Waqat ka Marhem
    bhi Mitta nahi paata
    Kuch yadain Zindgi ka Sahara hoti hain
    kuch yadain kuch karwi yadain

    Comment


    • #17
      Re: Yaad!!!!!!!

      v nice...................

      Comment

      Working...
      X