:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aankhein ***
Collapse
X
-
Re: Aankhein ***
aik ajeeb see kafiyat biyaan karney ki koshish ki aap ney. jisey koi insaan kahin kho giya hai, be buss hai, majboor our lachaar hai. iss poem main bhi aap ney apney lafazon ko jo shidat di hai buhat kum log aisa kar paatey hain. Allah ney aapko buhat piyarey khubsurat jazbaat say nawaaza hai jinhain aap lafzon main dhalna jaanti hain.
acha shayer wohi hota hai jo apney alfaaz main iss qader khichaao paida kar dey k parney wala buss ik new duniya main chala jaye. or aap yea hunar jaanti hain
buhat buhat buhat buhat buhaaaaaaaaaaaaat piyara likhti hain aap.
you are my most Favorite poete
Comment
-
Re: Aankhein ***
bohat hi khoobsurat mayar-e-shaaeri aur nihayat behtreen intikhaab-e-hurf.... aksar shaaeri main aankhon ko behta hua paRha, iss baar aankhon ko pehli baar majboor dekha... aur majboori bhi kaisi jo kay kamazkam ankhoon kay liye aik namumkin see baat lagti hay kamazkam un ankhoon kay liye jin main dard ho, takleef ho, jalan ho kisi kay milnay ki umeed ho, kisi ki judai ki dastaan ho... uss ankhon ko naa ronay say majboor pehli baar dekha... bohat khoob, izzat-e-nafs aur khudaari bayan karti hoyee yeh nazm qabil-e-tehseen hay... isi tarhan likh kar humain apni achi tehreeroon say mustafeed karti rahain, shukriya... Khush rahyeh.sigpic
Comment
Comment