Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Ehsass Ko Jeena hay
Collapse
X
-
Re: Ehsass Ko Jeena hay
Gul ji wesey bhi apney ghum iss duniya ko bataa kar kuch nahi milta.... humarey jazbaat ko humari kamzori bana kar humari roh main rachi bassi her khushi ko chooosss letey hain yea pather dil log.
humain itna kamzor kar detey hain k apna wajood aik chalti phirrrti laash lagney lagta hai. Gul ji aapki Ghazal buhat piyari hai kion k iss main aap ney apney jazbaat ko alfaaz diye hain.
or sub say mushkil kaam hota hai apney jazbaat ko likhna. lakin Allah ney aapko yea hunar buhat khoob diya hai. aap kuch bhi kar sakti hain ....... aap kuch bhi likh sakti hain. aap k pass alfaaz ka khazana hai. lakin Gul ji iss duniya main kuch aisey bhi log hain jo alfaaz dhondhatey hain alfaz nahi miltey rang dhondatey hain rang nahi miley unn ki zindgi be rung be awaz ho jati hai. wo zindgi k safar main Tanha log hotey hain. jesey main hon
Tanha si zindgi ka main hon Tanha musafir
Comment
-
Re: Ehsass Ko Jeena hay
Tanhaai aik kefiyat ka naam hai
HajooM mein b hoti hai ....!
Aur Kabhi yehi Tanhaai Mehfil ka rooP
dhara karti hai ....!
Jessay Light chali ja-ay tu ..automatically Emergency light roshan ho jatii hai na
aik dum wesay .....!
Tanhaai b tab ek karam hai jab ,,...............Mehfil nahi hoti !!
Comment
Comment