Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

    aslaam_u_alikam


    dillon ko milaaney key din aarahey hain
    "chaman ko sajaaney key din aarahey hain"

    kahin bhool jaaun na khud ko khushii main
    terey paas aaney key key din aarahey hain

    khanakney lagey hain yeh kangan bhi ab to
    keh sajney sajaaney key din aarahey hain

    duaaon ney meri dikhaaya ye rang ab
    hina ko sajaaney key din aa rahey hain

    nazar aaye her su teraa hi yeh chehraa
    naye geet gaaney key din aarahey hain

    mujhe mil gayee mere khwaabon ki taabeer
    ke jeevan sajaaney key din aarahey hain

    chehkney lagey faatimah aaj gul bhi
    keh shabnam churaaney key din aarahey hain.


  • #2
    Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

    W salaam


    waah bahoot khoob bahoot umdeh chhooti bahoot hi dilkash kavish likhi aur share ki tumnien dili daad qabool karo aur yun hi likhti raho khush raho

    duaaon ney meri dikhaaya ye rang ab
    hina ko sajaaney key din aa rahey hain

    nazar aaye her su teraa hi yeh chehraa
    naye geet gaaney key din aarahey hain

    mujhe mil gayee mere khwaabon ki taabeer
    ke jeevan sajaaney key din aarahey hain

    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

      Originally posted by Fatimah
      dillon ko milaaney key din aarahey hain
      "chaman ko sajaaney key din aarahey hain"

      kahin bhool jaaun na khud ko khushii main
      terey paas aaney key key din aarahey hain
      Bohat pyarey hotey hain woh lamhaat jab kisi ka qurb hasil honey lagey. Apnaiyat yeh ehsaas bohat anokha hota hai, aisa ehsaa jis mein apna aap bhool janey ko dil karta hai. Khoob Fati!


      Originally posted by Fatimah
      duaaon ney meri dikhaaya ye rang ab
      hina ko sajaaney key din aa rahey hain
      Yeh hina woh aam si hina nahin hoti balkey yeh hina to muqaddaron sey lagti hai aur muqadron ko sanwarti hai. Har larki ko yeh hina mubarak ho :)

      Originally posted by Fatimah
      mujhe mil gayee mere khwaabon ki taabeer
      ke jeevan sajaaney key din aarahey hain
      Khawabon ki haqeeqat mil jaey to kya chahiye? Khawab to har koi dekhta hai - main ney bhi dekhey hain magar haqeeqat na'daarad.

      Fati aap bohat khoobsurat andaaz mein ashaar kehti hain, bohat pasand aata hai aap ka likha huwa har kalaam - keep it up Fati :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

        Originally posted by khurram_shaikh View Post
        W salaam


        waah bahoot khoob bahoot umdeh chhooti bahoot hi dilkash kavish likhi aur share ki tumnien dili daad qabool karo aur yun hi likhti raho khush raho

        duaaon ney meri dikhaaya ye rang ab
        hina ko sajaaney key din aa rahey hain

        nazar aaye her su teraa hi yeh chehraa
        naye geet gaaney key din aarahey hain

        mujhe mil gayee mere khwaabon ki taabeer
        ke jeevan sajaaney key din aarahey hain

        aslaam_u_Alikam

        Big b :)

        aik mudat hogi aap sey baat kiye huye really missing u
        umeed kerti hun aap jahan kahin bhi hun gey ALLAH key hifz o imaan main hun gey gazal ko pasand kerney ka behad shukriya

        jabhi yeh reply perhein mujh sey contact karein plzzzzzzzz

        Comment


        • #5
          Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

          achi ghazal kahi aap nay
          pasand aaie
          regards
          uzma khan

          Comment


          • #6
            Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

            gret....
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • #7
              Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

              aap sab a behad shukriya

              Comment


              • #8
                Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                  hey
                  i read u poetry i like it so much its realy nice .......

                  by :clap:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                    :) :salam: wasalm its such a nice poem i like it but one thing Fatimah
                    Get your poetry with still having "Masomiat:blush: "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                      nice boaht khub achi poetry hai
                      nice ghazal good
                      ager ye urdu main honti
                      yani inpage main hoti to zeda maza aata nice

                      Comment


                      • #12
                        Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                        bahut acha lika hay
                        wasalaam..

                        Comment


                        • #13
                          Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                          nice sharing
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Chaman ko sajaaney key din aarahey hain

                            wah wah zabardast.
                            Koi Kash Dil Pe Zara Haath Rakh De
                            Mere Dil K Tukro Ko Ik Saath Rakh De
                            Magar Ye Hain Khawabo Khayalo Ki Baatein
                            Kabhi Toot Ker Cheez Koi Jori Hai?

                            Comment

                            Working...
                            X