Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hiko

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hiko

    Barash barsi to kal shab bher
    Jevan kay jaltay sholoon main
    Roop Kanwar yad aae mujh ko

  • #2
    Re: Hiko

    Behtreen..

    Comment


    • #3
      Re: Hiko

      Acha hay Bohat khooB :)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Hiko

        nice

        Comment


        • #5
          Re: Hiko

          Jiss mohabbat say navaza gaya hai samjh nahain pa raha os ka kiss tarah or kin alfaz main shukrreaa ada karoon:jazak:

          Comment


          • #6
            Re: Hiko

            bus aisy hee share kerty hain i loce Hikos

            Comment


            • #7
              Re: Hiko

              Assalaam-0-Alaikom

              very niceee
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Hiko

                Originally posted by Dr Maqsood Hasni
                Barash barsi to kal shab bher
                Jevan kay jaltay sholoon main
                Roop Kanwar yad aae mujh ko
                As Salam o Alaikum,

                Sir maiN nay kaheeN paRha tha kay Hiko main 1st aur last shair hum qafia hotay hain :cc:
                That's Enough...!!

                Comment


                • #9
                  Re: Hiko

                  Ahbab ki bay'panah navazeshoon ka bohat bohat suherea

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hiko

                    ya its true scorpion
                    hiko main 1st and 3rd misra hum qafiya hota hay hiko basically japnies poetry style hay jo ub urdu main bhi shamil ho rahi hay

                    dr sahib
                    aap k misray bohot khubsorat hain but i think we can not say tht it is hiko. wht u say?

                    awaiting 4 reply
                    regards
                    uzma khan

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hiko

                      main nay es moaamlay per kuch lekha hai. kaghaz kahain ether oother ho gaya hai. aj kal main talash kar loon ga
                      aap nay jiss tarah say dilchaspi dekhae hai os kay lea meherbani
                      Allah aap ko kuch rakhay

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hiko

                        URDU HYKO HIAT OR TAGHERAAT PER MUKHTASAR GUFTAGU

                        Hyku main bunyadi cheez os ka nazreaa-e-tekhleeq hai jabkah haet sanvi moaamlah therta hai. Nazrea-e-takhleeq main teen batain aati hain:

                        1- Kisi cheez, khasusan fitri or qudrati aanasar per pehli nazar peray os nazar kay hawala say peda honay wala ta’asar
                        2- Os peda honay walay ta’asar ko ossi tarah jaysa wo hai qalam
                        kaghaz kay hawalay kar dayna
                        3- Peda honay walay ta’asar main kisi qesam ki tabdeli or aalodgi
                        nahain honi chahea. Agar tabdeli ho gi ya ki ja’ay gi to ossay hyku ka naam dayna manasab na ho ga
                        Hamaray haan jab Dr. Mohammad Amin nay es senaf-e-sukhan ko motaraf karvaya to darj-e-bala ammoor ko avaleat hassal rahi tahum
                        es kay lea teen mesray (lines) qarar pa’ay. Chand masalain malahzah hoon:

                        Yah safar hai, qayam hai, kiya hai
                        Yah masafat kah teh hoe na kabhe
                        Zindgi kiya hai ratjagoon ka safar (Mohammad Amin)

                        Sabr lekha gaya lahoo say tery
                        Tashnagi so rahi the khimoon main
                        Sath os kay Farat behta tha (Akhtar Shamar)

                        Dobti hai kabhe obharti hai
                        Hiratoon kay khulay somandar main
                        Merri sochoon ki dolti nao (Bashir saefi)

                        Mujh ko etni se roshni day day
                        Dil kay kamray main beth kar pal bher
                        Apnay halaat-e-zindgi pher sakoon (Hidar Gardayzi)

                        Baad azaan es kay ovazan per mobahas ka silsala chal nikla or es kay lea 17(5-7-5) arkan ki pabandi lazam therri. 1986 main Maqsood Hasni kay nasri hyku ka majmoah “Sapnay Aglay Pehhar Kay” shaya howa. Khayal tha kah yah achchi khasi tunqeed ka nashana banay ga lekin es majmuay ki bari tehseen-o-pazerae hoe. Es kay mukhtalif zobanoon main tarajam howay. Nasri hyku ko pesh karnay ka bunyadi maqsad yah tha kah obernay walay ta’asar bahartoor kisi bhe hawala say majro nahain hona chahea. Nasri kalam main aahang ko bunyadi heseat hasal hoti hai. Aahang darhaqeqat tovazan (Balance) ka dusra naam hai. Batoor namona kuch hyku malahzah hoon:

                        Jevan kay pechlay pehar
                        Aglay pehar kay sapnay
                        Sonay nahain daytay aksar

                        Aao zohad-o-taqa
                        Taqleed-e-aasar main
                        Pamela kay naam kar dain

                        Makhe ghaleez to hai
                        Apni hat main lekin
                        Naak ki dushman hai



                        Kala kava
                        Kali ratoon main
                        Mehman ojaloon ka

                        Dr Sabar Aafaqi ka kehna tha kah yah hyku nasri nahain hain. Oon kay motabaq her mesray main wazan hai or tenoon mesroon kay ovazan alag say hain.
                        Batt zara mazeed aagay bhari to hyku kay pehlay or tesray mesray ko humqafeaa hona zaroori qarar day deya gaya. Maslan sha’er Ali Sha’er ka yah Hamdea Hyku malahzah farmaein:

                        Naam adab say lay
                        Saray ojalay phelay hain
                        Esam-e-Mohammad say

                        Assal moaamlah yah hai kah mahajar apnay deas ki samaji, moaashi, emrani, masherti or nafasyati rovayaat sath lata hai lekin dusri valaet main yah sab nahain chalta. Ossay os kheta-e-araz kay hawala say jena paray ga warna mohajar ka mohajar hi rahay ga. Yahaan es batt ko bhe bhoolna nahain chahea kah wo huko ka ebtadae door tha. Ensan ki tarah asnaf-e-sukhan waqat kay sath tagheraat say guzartein hain. Ghazal ko dakh lain gham-e-janaan kay hesar say nikal kar gham-e-doraan or gham-e-rozgar tak aa ponchi hai. Ehhad-e-Meer or aaj ki ghazal ko dakh lain fiqri or asloobi etbar say zameen aasman ka faraq nazar aa’ay ga. Tahum es ki eak cheez tura-e-amteyaz rahay gi wo es ka godaz or reshmeat hai.Yah silsala roknahain gaya ga. Khuda janay aatay waqtoon main kahaan tak ponchachy. Ungint tajarbay hoon gay or essi ka naam zindgi hai. Bhala hyko en tajarbatt say kayoon kar bach pa’ay gi. Tajarboon ka rasta nahain rokana chahea, yah zoban asloob or fiqar kay lea sum-e-qatal hai bawar rahay rasta rok bhe nahin sakta. Zindgi ko to chaltay rehna hai. Meray ya kisi or kay kehnay say zindgi or es say motalaq tagheraat rok to nahain satay.

                        Hyku aaj Urdu ki maqbool tareen senaf-e-adab hai. Es main tajarbay ho rahay hain. Humdea, Nateaa or Hussani hyku taklhleeq pa rahay hain . Yah sab Japani hyku main kahaan hai. Es lea yah kehna zayada monasab ho ga kah hyku nay Urdu ka mazaj, saliqa, toor, asloob, andaz or chalan ekhtayar kar leaa hai. Aaj essay badaysi nahain kaha ja sakta. Chand Japani hyku malahzah hoon. Es say mozoaat ka faraq wazey ho ja’ay ga:



                        Baraf
                        Jo hum donoon nay dakhe the
                        Kiya es sall bhe girray gi (Basho 1644-1694)

                        Tunhae bhe
                        Mosarrat hai
                        Sham-e-khezaan (Yosa bosan 1716-1784)

                        Kitni hosein hai
                        Darwazay kay sorakh say
                        Kehkashaan (Kobashi asa 1763-1828)

                        Barsaat
                        Gher ka rasta selabi hai
                        Or mandak wahaan taer rahay hain (Masaokashiki 1867-1902)
                        (Zarad Pholoon Ki Khoshboo,
                        Motarjam Dr. Mohammad Amin,
                        Victri Book Bank, Lahore 1992)

                        Aaj ki Urdu or farsi ghazal qareeb qareeb ho kar bhe apna joda rang dhang or rang-o-roop rakhti hai. Aysi hi surat Japani or Urdu hyku kay sath darpesh hai. Yah koe nae batt nahain, Hyko nay urdu mazaj ko kushdelli say apnaya hai. Es ki yah kush mazaji or kushdelli hi es kay punpanay ka sabab bani hai.

                        Comment

                        Working...
                        X