Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tefal Tasalli

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tefal Tasalli

    TEFAL TASALLI

    Main moqaddar ka Sikandar hoon
    Texsoon ki shan ka saya
    Meri rakhsha karta hai
    Tangay ki seat per laytay
    Khaday kay kese huhkolay say
    Shifakhanay kay dur per
    Humderdi kay boloon main
    Apnay ghar per
    “ Dawaein kab milti hain”
    Es tifal tasalli per
    Mer sakta hoon
    Main moqaddar ka Sikandar hoon
    Murg kay sary kharchay
    Meri bevi kay dopattay ki hurmat
    Yatemoon kay monh kay luqmay
    Ya pher
    Meray bachoon kay kal ki nilami
    Apnay anjam ko phochain gay
    Bustay or qalam kitabain
    Kaee yog hooway
    Layani theray hain
    Hotal kay bartan
    Sarkari bundoon
    Saythoon or perchi waloon ki karain
    oogli hoon gi to
    Door kay rehnay walay
    Meri taraqqi per rushk karain gay
    Main mokaqadar ka Sikandar hoon
    Dalar ki bersatain hoon gee
    Perdhani karnay waloon ki
    Sohani ratain hoon gi
    Ghar yah kab janat hain
    Main to,
    Os bahoo rani sa hoon
    Sara ghar jiss ka hai
    Jab chahey koee dawa bandhay
    Rook toak nahain
    Es beytaqullaf malik per
    Bus ek pabundi hai
    Chezoon ko shunay say baz rahay
    Nand kay kalay kartutoon ki humraz rahay
    Ghoorti aankhoon
    Huntal boloon say Aazad rahay
    Shad rahay

  • #2
    Re: Tefal Tasalli

    dr sahib
    Allah aap ko waqie muqadar ka sikander banaye aameen
    nazam bohot achi hay aap ki
    kafi different si
    regards
    uzma khan

    Comment


    • #3
      Re: Tefal Tasalli

      Uzma je
      Aap nay meree nacheez tehreer pasand furmaee yah aap ki kramfuamaee hah. Aasan lekhnay ki koshesh karoon ga.

      Comment


      • #4
        Re: Tefal Tasalli

        dr sahib
        urdu meray liay mushkil cheez nahi hay aap ki kawish waqie bohot achi hay
        umeed karti hon k ainda bhi apni nigarishat say mehzoz kartay rahain gain
        regards
        uzma khan

        Comment


        • #5
          Re: Tefal Tasalli

          :rose kayoon nahain jab taak hoon aap mukjy yahaan dekhti rahoo gi
          koshesh karoon ga kah aap kay zooq-e-saleem ko meray lafzoon say tuskeen millay
          goya zimedari bher gaee hai
          aap bhe aapni ra'ay say essi tarah navazti rahain

          Comment

          Working...
          X