Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hijr-o-visaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hijr-o-visaal

    Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
    Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai
    Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum
    Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai

    Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
    Phir se chayee hai takh_ ul pe aarzuon ke ghata
    Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
    Phir se wafa ki zard aarizo mein noor bhaa

    Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umron ke baad
    Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
    Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
    Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke

    Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
    Dil phir yeh mananay ko karta hai
    Khird phir bebus si khari hai
    Junoon phir jaagney ko karta hai

    Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zbaaN
    Kho gyay hain gilon ke bol kahin khalaaon mein
    Meetha taanaa sa detaa hai beetee udaasee ka chehra
    "Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon mein"

    Abhi kuch pal mein toot jayega waqt-e-vasl ka dum
    Phir se laut jayengey hum liye majboorion ke daaman
    Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
    Teri majboorian hain yeh duniya ke bemaar aqayud
    Main bhi majboor huun in haalaat ke haathon humnufs meri
    Aatee rhaa karo milnay jab talak mumkin hai
    Kyuon na tab talaq ishq ko apnay
    vajah miltee rahey jeeney ki
    __________________
    Last edited by Brijinder; 21 February 2006, 21:46.

  • #2
    Re: Hijr-o-visaal


    HMMMMMMMMMMMMM
    NICE

    CHIPKOOOOOOOOOOOO

    Comment

    Working...
    X