Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hijr-o-visaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hijr-o-visaal

    Hijr-o-visaal


    FazaoN ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
    Afsurda badaloN mein se chand phir muskuraya hai
    Takhleeq meri meinNphir aaney lagey hain shokhioN ke dum
    Labon pe phir koyee mast naghma ubhar aayaa hai

    Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
    Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuonN ke ghataa
    Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
    Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa

    Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad
    Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
    Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
    Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke

    Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
    Dil phir yeh mananay ko karta hai
    Khirad phir beybus si khari hai
    JunooN phir jaagney ko karta hai

    Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN
    Kho gayay hain gilonN ke bol kahinN khalaaonN meinN
    Meetha taanaa sa deytaa hai beetee udaasee ka chehra
    "Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon meiN"

    Abhi kuch pal meinN toot jayega waqt-e-vasl ka dum
    Phir se laut jayeNgey hum liye majboorioN ke daaman
    Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
    Teri majbooriaN hain yeh duniya ke bemaar aqayud
    Main bhi majboor huuN in haalaat ke haathon humnufs meri
    Aatee rahaa karo milnay jab talak mumkin hai
    KyuoN na tab talaq ishq ko apnay
    vajah miltee rahey jeeney ki
    __________________

    Afsurda-Udaas, Takhleeq-Rachna,
    saaz-e-zeest : instrument of life
    takkh_ ul -Kalpana, barq- Lightening
    aarizoN- Cheeks, pairhan- libaas
    Besood-useless, wus_ ataiN-Vishaalta
    Khird-Intellect, Junoon-passion,diwaangi
    shuaon-rays, waqt-e-vas- Milan ka waqt
    aqayud- usool aur riwaaz
    humnufs- meri jaan(beloved),

  • #2
    Re: Hijr-o-visaal

    nice.....

    Comment


    • #3
      Re: Hijr-o-visaal

      shukriya,meharbaani.

      Comment


      • #4
        Re: Hijr-o-visaal

        app buht acha lekhty hai... khush rahein
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #5
          Re: Hijr-o-visaal

          Wah Kia Baat Hay
          Bohat Khoob
          Keep Sharing...
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment

          Working...
          X