Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Himmat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Himmat

    Himmat


    Woh qahqahoN ki masti
    KahaaN gayee who hasti?
    Woh khwaaboN pay jaadu karnaa
    Aur yaqeeN main badlnaa
    Sabaa say sur milaanaa
    To kabhi taaroN say gungunana

    Jab hosh nay aankh kholi
    Afqaar say ki macholi
    Ab tu bhi udaas kyuN hai
    Tanhai ka paas kyuN hai

    Maanaa shub nay ziNdgi pay teri
    Lagaai lambi pheri
    Magar raushni kay woh daanay
    Jiskay tujh main khzaanaiN

    Bo day is kaali raat kay seenay par

    ---------------------------
    Last edited by Brijinder; 30 January 2006, 21:35.

  • #2
    Re: Himmat

    Bohat umdah. Mujhey aap ki har aik nazam mein aik neya pehloo milta hai:

    jab hosh ney aankh kholi
    afqaar sey ki makholi
    ab tu bhi udaas kyun hai
    tanhai key paas kyun hai

    Bohat aala!
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Himmat

      Masood,once again thanx a lot for the warm words of appreciation coming from heart.I treasure it.
      Brijinder"Sagar"

      Comment

      Working...
      X