Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dard-e-tanhai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dard-e-tanhai

    Dard-e-tanhai

    Aao lay jao meray dil kay khazanay
    SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay

    TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay
    TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay

    Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
    Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

    Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say
    Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

    Ik taraf urnay ki lalak
    Ik taraf zameeN ki pakar
    Ik taraf nai duniya ka shouq
    Ik taraf ajnabiyat ka khauf

    Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di
    ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li

    Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say
    Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say

    Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas
    Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas

    TanhaaioN maiN magar ab bhi
    Umeed ki lau jalti hai.

    ---------------------
    Ashna-parichit,known,Ufaq-khistij,horizon,Noor-raushni,light,wusat-e-ahsaas-ahssasoN ki vishalta

  • #2
    Re: Dard-e-tanhai

    wah wah wah aap really mein ustaad Poet hain Pegham k.................waooooooooooo buth he acha laga aap key poetry parah k hamesha Khush Rahey Hamesha
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Dard-e-tanhai

      Jazbaat ko aap ne Words ki mala me peroya hai :rose


      bohut khoob :fr:

      Reputation ka Nazrana Qabool kerain :THANKS:

      Comment


      • #4
        Re: Dard-e-tanhai

        Tanha saheb, I am moved these very beautiful words of appreciation though I am sure that I do not really deserve these!!!
        I am thankful to both of you for the kind words and hope this poem lingers in your minds for some time.

        Comment


        • #5
          Re: Dard-e-tanhai

          Once again a lovely expression of thougths and true emotions, really impressive, you really got a good power of words to express your true feelings with the right collection of words and you are very right that as with you other work this poem will also linger into our mind for quite sometime, keep writing and sharing with us, I desperately wait good words from your end.

          Khush rahyeh.
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Dard-e-tanhai

            Thanks a lot for these kind words of appreciation.I am honoured that my poems evoke such strong emotions.
            Thanks once again.

            Comment

            Working...
            X