Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

    Aik Paaghal Nazm Paaghal SmaajoN Ke Naam

    Raakh barseygi aasmaanoN se
    Fiza meiN bhar jaigi qabaroN ki haddiaN
    Apna hi lahu bahyga dariya dariya
    NiklyaNgay naNgay-jism murdoN ke juloos

    Kuttay roiNgay muNh aflaaq pe dhar kar
    Aur raqs karaNygee siyaaroN ki hookeiN
    AaNkh barsa karEygi naalioN ke keeRay
    Shab peetee phiraygi sooraj ki kai

    -----------------------
    Aflaaq- skies, Kai- Vomit

  • #2
    Re: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

    Brijinder jee,

    thori tashreeh kar den ge :rose

    Comment


    • #3
      Re: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

      shayeri main aap ki soch ki wusa'at boaht wasee hay, jahan tak meri naqis aqal samajh saki hay aap kisi aisay lamhay ka zikr karna chatay hain jab koi aisa anhona kaam hoga kay duniya shayer kay dili jazbaat ko jaan sakay gi jisay ab tak ignore kar rahi hay yaa samajhnay say qaasir hay,,, aagay aap mazeed tashreeh kar saktay hain,.... wonderful words I must say!! khush rahyeh
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

        This is a mood poem.I was trying to capture the sense of frustration which many of the sensitive people feel over the senseless rituals, rigidity and many times antiquated mindsets which tries to conform everyone to the same thinking.It is a cry about the society which stifles the diversity and sense of questioning in individuals.
        Regards
        Brijinder

        Comment


        • #5
          Re: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

          Beautiful thoughts and very sensitive feelings, keep sharing, khush rahyeh
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

            Thanks a lot for the kind words.

            Comment

            Working...
            X