Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sazaa

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sazaa

    Sazaa

    Na raatoN ko hui naseeb apnay khwaaboN ki tabeer
    Na din meray nay payaa apnay ujaalon ka humnashiN
    Na mili sera-e-jahaaN main zeest ko thandi chaaNv
    Na jazbaat meray nay paayaa aqs apna kahiN

    Tu to tha mushtaaq haqeeqat ki gawaahi hai
    Shiddat-e-khuloos magar bani teri tabaahi hai
    Tunay gaRd main reh kar shaffafi kay geet gaayay
    Ziqr gulshanoN kay teri barbat pay kiyuN ki aayay

    Yeh jurm-e-intahha tamddun say hota nahi gawaraa
    Tareekh kar rahi hai sadion say yeh ishaaraa

    Aqeedat-o-takddus kay auhaam main thay jo mastoor
    UriyaaN kar diayay tunay tehzeeb kay woh sub nasoor

    Ab isliay ta-umr tanhaaion main teh
    Tu mehfiloN say door parchaion main reh
    Ja ab tera koi nahiN
    -------------------------
    Meanings:
    Mushtaaq-one who wants to know
    Shiddat-e-khuloos-intensity
    Shaffafi-pure
    Barbat-a musical instument
    Jurm-e-intaha-extreme sin
    Tanddun-civilsation
    Aqeedat-o-takddus--faith n pious
    Auhaam-- veham(illusions)
    Mastoor--chupay huay

  • #2
    Re: Sazaa

    wah janab bohat khoob, aap ki tehreer main bohat gehrayi hay, soch-o-fikar ki bulandi hay... aur jo sazaa aap nay dee hay woh waqyi baRi khatarnaak hay yaani wehshatoon aur tanhayion ki saza... isi tarhan likhtay rahay, bohat acha likhtay hain aap :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Sazaa

      Thanks a lot for the beautiful words of appreciation.

      Comment


      • #4
        Re: Sazaa

        bahot khoob sagar sahib nice poetry
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Sazaa

          Wasi saheb,I am sorry for being late in reply.I am thankful for your kind words.
          Regards

          Comment

          Working...
          X