Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kya hai zindagi??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kya hai zindagi??

    Kya hai Zindagi?

    Mai ka jadu bhara mast payaala hai
    Ya ki tanhai kay seenay maiN laga khaNjar
    Mehboob kay hoNtoN ki sheerni hai
    Ya ki zar-o-zameeN kay khawaaboN ka naam
    Har nafs maiN zinda hairat ki taazgi hai
    Ya ki sub ka sham say ik thaka sa rishta?
    Zindagi kisko kehtay haiN, dost??

    -----------------

  • #2
    Re: Kya hai zindagi??

    waah bahot khoobsurat poem likhi hai aap ne
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Kya hai zindagi??

      Wasi saheb,I am sorry for being late in reply.I am thankful for your kind words.
      Regards

      Comment


      • #4
        Re: Kya hai zindagi??

        Wah Brijinder Singh sahab bohat khoob, kaafi gehrayi hay iss kalaam main, uss sawaal kay jawab ki talaash main aap nay najaanay zindagi kay kitnay hi rang bayan kar diye... kabhi May ka pyala tou kabhi meboob ki mohabbat, kabhi tanhayi tou kabhi khuwaab... zindagi kay itnay rang bayan karnay kay liye uss ka itnay qareeb say mushahida bohat zaroori hota hay.... hum jaisa shaks jiss nay kabhi zindagi per itna ghour hi nahin kia, kisi nay bura kaha tou khush rahay, acha kaha tou bhi khush rahay.... bas humesha apnay cheray per aik anjaani si muskurahat rakhi.... mohabbat say doour rahay tou nafrat bhi nahin ki, dosti say dour rahay tou kabhi kisi ko dushman bhi nahin banaya, Tanhayee main mehfil qayim kar dee tou kabhi mehfil main bhi apnay aap ko akaila mehsoos kia... na jaanay dil main kitnay hi jazbaat umadtay hain aur doosrat pal khatam hojaatay hain, hum jaisay kam sukhan aur kam zouq logo kay liye tou zindagi naam hay jeenay ka, bas jiyey jayo apnay liye nahin tou auroo kay liye... kabhi zindagi say kuch maanga nahin aur kabhi kuch bin maangain mil gaya tou uss ko nibhaya nahin, kabhi kuch paanay ki tamanna nahin ki ..... I am just writing my true feelings, I am not master of words as you are, but I am expressing my true feelings very honestly, I have not seen life so closely as you have seen, because each and every word and feelings that you have put in your words are expressing your true experience of life.... keep sharing dear, your words are making me think beyond my existence.... Khush rahyeh.
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Kya hai zindagi??

          Thanks a lot for the beautiful words of appreciation.I hope this poem lingers in your mind for some time.
          Kind regards
          Brijinder
          Last edited by Brijinder; 16 October 2009, 04:01.

          Comment

          Working...
          X