Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Teray Naam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Teray Naam

    Teray naam

    Jab tu meri aagosh maiN hoti hai
    Teri admundhi aankhain
    Teray laraztay huay hoNt
    Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka pataa
    Teray jism ki haraarat
    UnglioN ki shraarat
    NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka nashaa

    Jhatak kar khol daiti ho
    Jab tum ghanay syaah gaisu
    Aur bar jataa hai un paloN ka khumaar
    Phir shiddat say woh jazba
    Hai rooh tak mehsoos hotaa
    Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar

    Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat
    Hoti hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat

    Jab tu meri aagosh maiN hoti hai!Sach!
    Meri zad maiN hoti hai jaisay saari qaaynaat

    -------------------------

  • #2
    Re: Teray Naam

    bahot khoob janab nice
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Teray Naam

      v.nice bro.........
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: Teray Naam

        nice dear
        :36_3_21[1]::36_3_21[1]::36_3_21[1]:

        Comment


        • #5
          Re: Teray Naam

          bahot khoob janab nice

          Comment


          • #6
            Re: Teray Naam

            Thanks a lot for the kind words of appreciation.
            regards
            brijinder"Sagar"

            Comment


            • #7
              Re: Teray Naam

              AOA..
              no doubt aap buhat achha likhtay hain aur wazan main hota hai aur aap waqif hain tehreeh k andaz say ...
              mgr plz buhat close feelings ko TASHBEEHAT ka jama pehnanay ke koshish kegey ta k shayri ke khubsurti aur mayaar doubala ho aur kaheen bay hayee ka ansar na ho...
              taa k parhnay waly ko baat bhi convey ho jaye aur shaiyree ka MAYAAR bhi apni jagha qaeim rahay,,, jari rakheye
              shukriya.......

              Comment


              • #8
                Re: Teray Naam

                Nice chiips

                Comment


                • #9
                  Re: Teray Naam

                  Thanks a lot for the kind words of appreciation.I was trying to evoke the imagery of intensity of love-physical and emotional-but never crossed the limits of decency,I think.It was an honest portrait of emotions that one feels.But if you still feel that this nazm went beyond the call of decency,I apologize for that and will take care that such intense poems remain in my diary.

                  Comment

                  Working...
                  X