Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ishq-2

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ishq-2

    ISHQ-2

    AhsaasoN ki ghurbat ka muqaam hai
    Ishq jab benoor perstish ka sabub ban jayay
    Hawas ki hud say aagay jiska koi da_ava nahiN
    Us ahsaas ka shumaar zikr-e-muhabbat maiN kyuN aayay

    Ishq nighaahaiN milnaiN say hi nahiN pa laita apna wajood
    Bahut mushkil hotay haiN in raahoN kay usool
    Koi jab ban pehchaan apnay khyaaloN ki milay
    Jab lehraayay kisi chehray maiN apnay ahsaaoN ki pehnaai
    Maaini ishq kay tab jalwagar ho kay miltay haiN
    JismoN ki dosti phir bus hawas ki bunyaad nahiN
    Muhabbat ka kudrati sabub ho kay milti hai

    Woh jo kehtay haiN ki jazbaat kisi usool ka haamil nahiN
    Khumaar-e-dast-junooN tak say bus wabasta haiN
    Un past roohoN say jo na hui tai ishq ki bulaNdiaN
    Hawas-o-benoor parstish ko ishq ka paikar diya

    Aur sadioN say yahi unka beemaar paimaanaa
    Ishq bun kay reh gaya bus ik harf-e-mujrmanaa
    Utho tehzeeb-e-nau kay humraaho
    Ishq ko phir say khoya maayni lauta do
    Aur duniya ko yeh samjha do
    Ki-
    Jazbaat ka hospur tarjuma hai Ishq
    Isliyay hai banaa khuda hai ishq
    -----------------------------------------

    Meaning:
    Benoor parstish-Blind devotion, Pehnaai-Vishaalta(bigness)
    Khumaar-e-dasht-junooN- Diwaangi kay jaNgal ka nashaa
    Harf-e-mujrmanaa- apraadhpoorn shabd, Tehzeeb-e-nau-new world,Hoshpur-conscious

  • #2
    Re: Ishq-2

    bohat hi khubsurat nazm he aik dear

    Comment


    • #3
      Re: Ishq-2

      Thanks a lot for the kind words.Hope it lingers in your mind for some time.

      Comment


      • #4
        Re: Ishq-2

        inpage main likh kar post keya karen plz ..bura mat mana aap bs wase zayda acha aur bs acha hota hai

        Comment


        • #5
          Re: Ishq-2

          What is inpage??I will post in that if I know it,no problem.

          Comment


          • #6
            Re: Ishq-2

            v nice poetry

            Comment


            • #7
              Re: Ishq-2

              Ishq nighaahaiN milnaiN say hi nahiN pa laita apna wajood
              Bahut mushkil hotay haiN in raahoN kay usool

              Waah, kaii dino baad aap ki shairi parhney ka moqa mila, aur kya khoob likha hai aap ney bohat aala!
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Ishq-2

                I am thankful to both of you for the warm words of appreciation.And Masud bhai,i was pleasantly surprised to see your message.Hope all is well.I hope that this nazm lingers in your mind for some time.
                Regards

                Comment

                Working...
                X