Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tzaad

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tzaad

    Tzaad

    YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay
    Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra
    Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
    Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai

    Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
    SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad
    Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera
    Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN
    Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN
    Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN

    Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN
    Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN
    Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
    Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN

    Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say
    Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas
    Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar
    Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas

    Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer
    Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer
    Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar
    Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer

    Thehar ab zauq-i-talab thehar
    Aaj na yeh baat baat uthaa
    Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo
    Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa
    ----------------
    Tzaad- takraav
    Takh_yul-imagination, Barq-bijli, Afsurda-udaas,
    Takhleeq-creation(rachna),Shorish-shor shraabaa
    Shauq-i-fitoor- pagalpan ka shauq,
    Aqaayud-i-mehabbat- prem kay prati vishwaas,
    Asaas-foundation,rasoomat-rasmaiN,pazmurda-adhmaray
    Tashheer-advertisment,besood-useless,tameer-nirmaan,
    Gujishta-beeta hua
    ----- Brijinder "sagar"

  • #2
    Re: Tzaad

    bahot khoob

    Comment


    • #3
      Re: Tzaad

      Bahot khoob sagar sahib
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Tzaad

        Thanks a lot for the kind words of appreciation.
        regards
        brijinder"Sagar"

        Comment

        Working...
        X