This poem is dedicated to all those who put me on the path of questioning,self-examination and above all taught me how to break out of the self-imposed prison of prejudices,conditioning and narrow thinking and showed me the beauty of the universal love.
Un sab ki nazar
TanhaaioN maiN abhi bhi
Zinda hai jazba-e-insaaN
Bhar jaataa saaNs jo
Dum torti sadaaqat maiN
Aur nighaaiN umeed ki
Phir say khwaab buna kati haiN
Tujh sa jab bhi koi
Mil jaataa hai raah-e-ziNdagi pay
Phir say sar uthaanay lagti haiN
Raakh hoti si bhaghaawataiN
Woh dard jisay sula aayaa tha maiN chupchaap
Woh dard aaj phir kasmasaataa hai
Aur nasl-e-Adam ko bhi to
Azal say har baar
Milta raha hai kuch isi wajhah say
Phir phir say jeenay ka maqsad
-----------------------------------------
Un sab ki nazar
TanhaaioN maiN abhi bhi
Zinda hai jazba-e-insaaN
Bhar jaataa saaNs jo
Dum torti sadaaqat maiN
Aur nighaaiN umeed ki
Phir say khwaab buna kati haiN
Tujh sa jab bhi koi
Mil jaataa hai raah-e-ziNdagi pay
Phir say sar uthaanay lagti haiN
Raakh hoti si bhaghaawataiN
Woh dard jisay sula aayaa tha maiN chupchaap
Woh dard aaj phir kasmasaataa hai
Aur nasl-e-Adam ko bhi to
Azal say har baar
Milta raha hai kuch isi wajhah say
Phir phir say jeenay ka maqsad
-----------------------------------------