Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maddah Say-2

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Maddah Say-2

    Maddah Say-2

    YaqeeN khud pay to mujhay hi nahiN
    TumhaiN kyuN mujh say aqeedat ho
    Fiqr meri maiN shaamil haiN
    Hadd-e-junooN say paray tak kay bhi khyaal
    MaiN khwaaboN ko rang-e-bu sayTaraashnay ki jurrat rakhta hooN

    MaiNnay daikhay haiN hawas maiN pakeeza jalway
    Aur taqaddus maiN fahaashi kay imqaaN
    MaiN taraadeed ki hooN saraapaa tasveer
    Diwana hooNsaudai hooN aur na jaanay kya kya
    MaiN ajeeb shakhs hooN meray dost
    Soch kay baraanaa mujh tak dosti ka haath.

    ---------------------------------------
    Rang-e-bu-- Colour of the smell.This metaphor is to convey my sense of experimentation,my quest to explore the unconventional
    Maddah-admirer, Aqeedat--devotion,Taqaddus-pious,fahaashi--vulgarity, Taraadeed-contradiction,Saraapaa--from head to toe
Working...
X