Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aarzoo

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aarzoo

    Aarzoo

    MainaiN daikhay haiN tanhai kay woh maNzar
    Afkaar bhi meray jahaaN gooNgay ho gayay
    Daikha hai woh dasht chuppi ka
    BarsoN jahaaN waqt ki aari na chali

    Pehlay
    akayla to nahi raha itnaa
    Subsay door reh kay bhi maiN
    Saath jab tak diya lafzoN nay dard sehnay maiN
    Bahishti ban ban kay pilaatay paani
    Tashnagi jab jab barti
    Duniya kay usooloN say

    Aur ab
    JazboN ka jam jaanaa
    SaaNsoN ko nijaat kaisay milay
    Aanay haiN abhi to kitnay mausam
    Banay kya jo barf na yeh pighlay

    Kabhi fariyaadi to nahi rahaa tera
    Magar ZiNdagi aaj yeh tujhko kehta hooN
    Day sau nashtar,tau bhi mujhay maNzoor
    Par taaqat-e-lafz-bayaani meri
    Har haal maiN mujh tak rehnay day

    --------------------------

  • #2
    Re: Aarzoo

    bohot he achchey khiyaalaat piroe hai aap nay,bohot khoob bohot he achchah:phool::thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Aarzoo

      wakeeyaai bahut dard hai !
      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: Aarzoo

        Bahot khoob sagar sahib nice poetry
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Aarzoo

          Thanks a lot for the kind words of appreciation.
          regards
          brijinder"Sagar"

          Comment

          Working...
          X