Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TalkhiaN-3

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • TalkhiaN-3

    Sharing with you an old nazm.If you find traces of arrogance in it ,which was also the confidence in the new visions of the time,plz excuse as the expression of youth.

    TalkhiaN-3

    Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz
    Gunaah banaa di gayeeN parvaazaiN meri
    Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat
    Jo dabaatay ho bulaNd aawaazin meri

    Jab tu mehfiloN maiN ho mast phirta tha
    Karti thi meri umr tanhaaioN maiN riyaaz
    Jab tu lagaa rahaa tha beparwaa kehkehay
    Samajh rahaa thaa main khyaaloN kay andaaz

    MaiNnay ik ahud pay jiya hai zeest ka lamha lamha
    Tunay tab jisay junooN ka naam diya
    ZameeN jisko samajh na paayee
    AasmaaN nay uska ahatraam kiya

    Teray rutboN ki nahiN ab koi kashish baqi
    Samjhay to yeh bhi hai ik kamaal-e-fun mera
    Jo bus riwaayutoN maiN dhal kar kay banay
    NahiN ab woh mouzoo-e-sukhan mera

    MaiN to khaaboN kay geet banaauNga
    Aur wusa_t-e-afkaar say sajauNga
    Tujh maiN himmat ho to aa jaanaa
    Varnaa akaylay hi gungunaauNga
    --------------------------------------

  • #2
    Re: TalkhiaN-3

    Bohat khob............

    Comment

    Working...
    X