Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kaisa hai yeh dil ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kaisa hai yeh dil ???

    Kaisa hai yeh dil???

    Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN
    MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN

    Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri
    Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri
    Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham
    Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri

    Fason-e-gesu tera ab na karayga girftaar mujhay
    Har din ab na rehaygi teri hasrat-e-didaar mujhay
    Ab na hoga mujhay teri is berukhi pay raNj koi
    Sangsaar na karygaa ab tera yeh gair sa kirdaar mujhay

    Har ada teri ab na meray alfaaz main dhalygi
    Tujhay paany ki tamanna na meray khwaaboN main palaygi
    Ab na hoga aisa meri ziNdgi ka nizaam
    Ki teray ruknay say rukay aur chalnay say chalygi

    Kasam to lay nahi sakta maiN in sub ki
    Koshish ka vaadaa khud say hai zarror magar
    Kya karuNga kaisay saMbhalUnga kuch to bataay koi
    Daikhogi kahiN tum ho kar udaasi maiN choor agar?

    ------------------------------------
    Meanings: Furqat-judai, Fasoon-e-gesu--magic of your hair
    -----------------------
    Last edited by Brijinder; 28 September 2010, 21:12.

  • #2
    Re: Kaisa hai yeh dil ???

    Bohat khob............

    Comment


    • #3
      Re: Kaisa hai yeh dil ???

      Good Afternoon
      waoo yar Bohat Khob.Nihayt Napay toly ilfaz ka istimal or Nihait he shandar tahrerr

      tmam wady awr airady kar,kay Akhari Band Main Phir apni Majborion Par Ikhtitam Bohat He Acha Laga

      Mazeed ka intizar Rahy ga

      Aik Bat kahne thee K Font size thora Bara Rakha karin Thanks
      Last edited by S.Athar; 28 September 2010, 12:45.
      :star1:

      Comment


      • #4
        Re: Kaisa hai yeh dil ???

        Wah Kia Baat Hay
        Bohat Khoob
        Keep Sharing...
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment

        Working...
        X