Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Depression

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Depression

    DEPRESSION



    Aankh khuli to har taraf tha murdaNgi ka nizaam
    Aatshi bosay day rahi thiN jaisay sooraj ki shuaaiN
    Nohagar thay jaisay subah ki thaNdi hawa kay JhoNkay
    Har phool maiN tha bharaa jaisay gehray sog ka rang

    Fazaa maiN jal rahi thiN jaisay har soo chitaaiN
    Rooh pay chirak diya ho jaisay kisi nay bekasi ka tezaab

    Badan kay har por maiN thi jaisay meeloN ki thakaan
    Wajood shdeed afsurdgi maiN tha girftaar
    Aur teergi dil-o-jaaN ki barhi jaati thi
    Dil-o-dimaagh pay ik wehshat si charhi jaati thi

    Hayaat inthaa bezaar si hui jaati thi
    Pakar main nahi aa raha tha is zulmat ka koi sira
    Raqsfarma tha j khud jaisay roosiyaah Iblees

    Kya karuN kay karuN
    Is dil ki wahshat ka maiN kya karuN?
    Kya karuN kya karuN
    Ta-ufaq phailee is dehshat ka maiN kya karuN?
    Kya karuN?

    ----------------------------

  • #2
    Re: Depression

    wah..bahut khoob...lafzon ka chunaoo aur andaaz-e-bayaan bahut dil ko chuu gaya..bada hi dilsoz kalaam hai...daad pesh hai..

    Comment


    • #3
      Re: Depression

      Very Nice.....

      Thanx For Sharing.

      Comment

      Working...
      X