Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala

    Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala


    DangoN meiN jab se daikha ik masla hua khwaab
    Boseeda saaqi,berang maiqada aur kaRwi hai shraab

    Mujhay aayaa na swaal bhi puchnay ka sha_ur
    Aur sab yahaaN liyay phirtay haiN jwaabon ki Qitab

    Mujhsay puchtay ho to jagaao khud meiN junooN aisa
    Patjhar meiN bhi jo karay koshish-e-fasl-gulaab

    Bharay zakhm kuraydogay to inki bu-e-lahu se
    Phir harqat meiN aa jaaNgay tanhaaioN ke uqaab

    Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala
    Ki kab ana nay pehan liya khuddaari ka naqaab

    --------------------------------

    Brijinder"Sagar"

  • #2
    Re: Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala

    Bohat khoob jee keep sharing :) very nice waiting for ur next one
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala

      Wah buhat khoob :rose



      buhat acha likha hai aap nay :)


      khush rahyeah :rose
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala

        Itni bharpur daad kay liayay bahut bahut shukriya,meharbaani.
        Brijinder"Sagar"
        Last edited by Brijinder; 16 August 2005, 00:26.

        Comment

        Working...
        X