Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ishq

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ishq

    Ishq


    Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
    Yeh hawis bhi hai paqeezgi bhi hai
    Shokhi bhi hai ishq-
    Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
    Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
    Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
    Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
    Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
    Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
    Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
    Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
    Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
    ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
    Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
    Kabhi bistar ki salwaton sa-
    To kabhi mandir ki moortoN sa
    Kabhi uryaanioN ka shaida
    To kabhi mere-o-Mariam ki soortoN sa
    Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
    Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

    RishtoN say sada juda hai ishq
    Isliyay hi bana khuda hai ishq
    ---------------------

    Poet: Brijinder "Sagar"

  • #2
    Re: Ishq

    MashaAllah :rose

    Ishq key husn ko kya khoobsurati sey biyaan kiya hai aap ney Brijinder sahib. Mujhey waqiey mein parh kar bohat sakoon milla hai. Aap ki shairi key alfaaz bohat pyarey hotey hain aur waqiye aap key mutaley ki wussaton ko chhutey nazar aatey hain. Khush rahiye

    masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Ishq

      Thanx a lot Masood for the warm words of appreciation.I believe if a poem can become a medium in giving a new n wholesome perspective to te readers,it serves its purpose. I write not becuase I can but because I can not help it.As said earlier,I donot believe that poetry is just the arrangement of words in a beautiful way.It should reflect poet's inner vision,his emotional/intellectual n spiritual maturity.
      Do write some about your self.I feel good coming on this site.
      Regards
      brijinder"Sagar"

      Comment


      • #4
        Re: Ishq

        Brijinder sahib main bikhri bikhri sochein liye apni duniya mein khoya rehta tha aur www.shab-o-roz.dk per hi basera huwa karta tha. Phir apni talaash ko wussat di aur aik urdu forum join kiya. Mujhey shairi sey junoon siraf is liye tha keh main apni bohat hi kam-ilami key bawajood apney ander ki feelings ko alfaaz mein dhaltey huwey kabhi nahin ghabraya tha. Teen-age ki shairi mera assasa hai. Last year aik forum join kiya aur wahan per tehreer likhney ka shoq pedah huwa to apney ander ki batein jumlon ki surat mein likhna shuru kar diya. Chahney walon ney appreciate kya magar kuchh dushman bhi pedah ho gaey keh meri tehreeron talkhiyaan hoti hai. Insaan ka gham, muashrey ka gham, mulk ka gham, mazhab ka gham yeh sab merey ander ghulley huwey hain jo ab tehreeron mein samney aatey hain. Main ney kabhi "afsana" nahin likha, agar likha to woh bhi haqeeqat mein aa kar jo aap isi forum mein parh saktey hain. Shairi meri tooti phooti hoti hai keh main apney dil ki baat hi kehta hoon, kabhi zabardasti kuchh nahin likha. Mujhey hamesha aik musleh ki talash rahi hai jo meri sochon ko aik rawangi deney mein maddadgar sabat ho. Pegham forum aik kavish hai keh yahan per main aur merey sabhi sathi aapis mein muhabbatein baantna chahtey hain. Kuchh karna chahtey hain aik doosrey key liye. Aur is talaash mein hamein aap ki sarprastgi ki zaroorat rahey gi to aap ka yahan rehna hamarey liye bohat khushi ka baees ho ga. Khush Rahiye.

        masood
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Ishq

          RishtoN say sada juda hai ishq
          Isliyay hi bana khuda hai ishq
          ---------------------

          Just beautifull, Brijinder ji Thanx for sharing such a charming poem.:rose

          Comment


          • #6
            Re: Ishq

            Thanx Muskaan for your kind words.This poem,alongwith many of my other poems,reflects my deep convictions about the life.This is one secret that life has revealed to me that LIFE IS NEITHER BLACK NOR WHITE BUT GREY.We can find its'real meaning only there and not in any extremes.
            I believe that poetry is not just mathemetical precision of word arrangement but honesty of emotional n intellectual premises.It should have intensity which goes deep into heart n mind of readers.
            Thanx once again.
            Brijinder"sagar"

            Comment


            • #7
              Re: Ishq

              Originally posted by Brijinder

              Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
              Yeh hawis bhi hai paqeezgi bhi hai
              Shokhi bhi hai ishq-
              Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
              Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
              Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
              Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
              Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
              Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
              Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
              Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
              Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
              ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
              Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
              Kabhi bistar ki salwaton sa-
              To kabhi mandir ki moortoN sa
              Kabhi uryaanioN ka shaida
              To kabhi mere-o-Mariam ki soortoN sa
              Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
              Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

              RishtoN say sada juda hai ishq
              Isliyay hi bana khuda hai ishq



              I believe if a poem can become a medium in giving a new n wholesome perspective to te readers,it serves its purpose. I write not becuase I can but because I can not help it.As said earlier,I donot believe that poetry is just the arrangement of words in a beautiful way.It should reflect poet's inner vision,his emotional/intellectual n spiritual maturity.

              Sab se pehley to Ishq per is qadar pyare andaz mei likhne per daad qabool kijiyeh, aur dosra yeh ka aap ki poetry ki tara aap ki thoughts bhi buhut achi hain:) .


              Kush rahiyeh aur Likhtey rahiye :rose
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Ishq

                BUhat khoobsurat likha hai aap nay Buhat hi Umdaah :rose
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment


                • #9
                  Re: Ishq

                  Thanx for the warm words of appreciation from all of you.I believe that i am,essentially,a poet of ideas.But take care before you give my poetry a place in your heart becuase these are NOT considered "Poetry" by few "sentries"of the culture/litrature.Take care becuase then yoy will have to defend your convictions n aesthetic sensebilities..
                  As i wrote earlier too that if a poem shakes one to the core,makes one sit up and ponder,gives new perspectives or crytalises one's own perspectives Or just simply weaves a magic Then it is a work of ART-whichever format it may have.This is what my studies of History of Art taught me n am sharing it with you.
                  Brijinder"Sagar"

                  Comment

                  Working...
                  X